Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

huā jo aa ke nishāñ āshkār holī

bajā rabāb se mil kar sitār holī

surūd raqs huā be-shumār holī

hañsī ḳhushī meñ baḌhā kārobār holī

zabāñ pe naam huā baar baar holī

ḳhushī dhuum se har ghar meñ rañg banvā.e

gulāl abiir ke bhar bhar ke thaal rakhvā.e

nashoñ ke josh hue raag rañg Thahrā.e

jhamakte ruup ke ban ban ke svāñg dikhlā.e

huā hujūm ajab har kanār holī

galī meñ kūche meñ ġhul shor ho rahe aksar

chhiḌakne rañg lage yaar har ghaḌī bhar bhar

badan meñ bhīge haiñ kapḌe gulāl chehroñ par

machī ye dhuum to apne gharoñ se ḳhush ho kar

tamāshā dekhne nikle nigār holī

bahār chhiḌakvāñ kapḌoñ jab nazar aa.ī

har ishq-bāz ne dil murād bharpā.ī

nigah laḌā ke pukārā har ek shaidā.ī

miyāñ ye tum ne jo poshāk apnī dikhlā.ī

ḳhush aayā ab hameñ naqsh-o-nigār holī

tumhāre dekh ke muñh par gulāl laalī

hamāre dil ko huī har tarah ḳhush-hālī

nigah ne mai-e-gul-rañg bharī pyālī

jo hans ke do hameñ pyāre tum us ghaḌī gaalī

to ham bhī jāneñ ki aisā hai pyaar holī

jo hai tum ne ye holī turfa tayyārī

to hañs ke dekho idhar ko bhī jaan yak baarī

tumhārī aan bahut ham ko lagtī hai pyārī

lagā do haath se apne jo ek pichkārī

to ham bhī dekheñ badan par siñgār holī

tumhāre milne rakh kar ham apne dil meñ dhyān

khaḌe haiñ aas lagā kar ki dekh leñ ik aan

ye ḳhush-dilī jo Thahrā hai aan kar sāmān

gale meñ Daal ke bāñheñ ḳhushī se tum ai jaan

pahnāo ham ko bhī ik dam ye haar holī

udhar se rañg liye aao tum idhar se ham

gulāl abiir maleñ muñh pe ho ke ḳhush har dam

ḳhushī se boleñ hañseñ holī khel kar bāham

bahut dinoñ se hameñ to tumhāre sar qasam

isī ummīd meñ thā intizār holī

butoñ gāliyāñ hans hans ke koī sahtā hai

gulāl paḌtā hai kapḌoñ se rañg bahtā hai

lagā ke taak koī muñh ko dekh rahtā hai

'nazīr' yaar se apne khaḌā ye kahtā hai

mazā dikhā hameñ kuchh bhī yaar holī

hua jo aa ke nishan aashkar holi ka

baja rabab se mil kar sitar holi ka

surud raqs hua be-shumar holi ka

hansi KHushi mein baDha karobar holi ka

zaban pe nam hua bar bar holi ka

KHushi ki dhum se har ghar mein rang banwae

gulal abir ke bhar bhar ke thaal rakhwae

nashon ke josh hue rag rang Thahrae

jhamakte rup ke ban ban ke swang dikhlae

hua hujum ajab har kanar holi ka

gali mein kuche mein ghul shor ho rahe aksar

chhiDakne rang lage yar har ghaDi bhar bhar

badan mein bhige hain kapDe gulal chehron par

machi ye dhum to apne gharon se KHush ho kar

tamasha dekhne nikle nigar holi ka

bahaar chhiDakwan kapDon ki jab nazar aai

har ishq-baz ne dil ki murad bharpai

nigah laDa ke pukara har ek shaidai

miyan ye tum ne jo poshak apni dikhlai

KHush aaya ab hamein naqsh-o-nigar holi ka

tumhaare dekh ke munh par gulal ki lali

hamare dil ko hui har tarah ki KHush-haali

nigah ne di mai-e-gul-rang ki bhari pyali

jo hans ke do hamein pyare tum us ghaDi gali

to hum bhi jaanen ki aisa hai pyar holi ka

jo ki hai tum ne ye holi ki turfa tayyari

to hans ke dekho idhar ko bhi jaan yak bari

tumhaari aan bahut hum ko lagti hai pyari

laga do hath se apne jo ek pichkari

to hum bhi dekhen badan par singar holi ka

tumhaare milne ka rakh kar hum apne dil mein dhyan

khaDe hain aas laga kar ki dekh len ek aan

ye KHush-dili ka jo Thahra hai aan kar saman

gale mein Dal ke banhen KHushi se tum ai jaan

pahnao hum ko bhi ek dam ye haar holi ka

udhar se rang liye aao tum idhar se hum

gulal abir malen munh pe ho ke KHush har dam

KHushi se bolen hansen holi khel kar baham

bahut dinon se hamein to tumhaare sar ki qasam

isi ummid mein tha intizar holi ka

buton ki galiyan hans hans ke koi sahta hai

gulal paDta hai kapDon se rang bahta hai

laga ke tak koi munh ko dekh rahta hai

'nazir' yar se apne khaDa ye kahta hai

maza dikha hamein kuchh tu bhi yar holi ka

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now