holi
kyā ḳhuub aa.ī holī
mastoñ kī niklī Tolī
kyā ḳhush-gavār din hai
ik pur-bahār din hai
uḌtā gulāl dekho
chehre haiñ laal dekho
pichkāriyoñ ke dhāre
ḳhush-rañg haiñ nazāre
jazboñ kī vo ḳhushī hai
rañgoñ meñ jo chhupī hai
rañgoñ se tar badan hai
rañgīn pairahan hai
sab nāch-gā rahe haiñ
ūdham machā rahe haiñ
galiyoñ meñ ghūmte haiñ
mastī meñ jhūmte haiñ
sab TuuT kar haiñ milte
yuuñ mil ke sab hī khilte
duurī na fāsla hai
holī meñ sab ravā hai
niilā harā gulābī
rañg aaj uḌātī bhābī
'rāhul' 'kishor' 'gopī'
kheleñge ham se holī
ghar meñ banā.e sab ne
pakvān mīThe mīThe
tehvār hai nirālā
ulfat meñ sab ko Dhālā
holī ne aa ke phir dī
ta.alīm ektā kī
rut kyā 'farāġh' chhā.ī
gokul kī yaad aa.ī
kya KHub aai holi
maston ki nikli Toli
kya KHush-gawar din hai
ek pur-bahaar din hai
uDta gulal dekho
chehre hain lal dekho
pichkariyon ke dhaare
KHush-rang hain nazare
jazbon ki wo KHushi hai
rangon mein jo chhupi hai
rangon se tar badan hai
rangin pairahan hai
sab nach-ga rahe hain
udham macha rahe hain
galiyon mein ghumte hain
masti mein jhumte hain
sab TuT kar hain milte
yun mil ke sab hi khilte
duri na fasla hai
holi mein sab rawa hai
nila hara gulabi
rang aaj uDati bhabi
'rahul' 'kishor' 'gopi'
khelenge hum se holi
ghar mein banae sab ne
pakwan miThe miThe
tehwar hai nirala
ulfat mein sab ko Dhaala
holi ne aa ke phir di
talim ekta ki
rut kya 'faragh' chhai
gokul ki yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.