holi
lo aayā holī kā tyauhār
ḳhushī meñ jhuum uTThā sansār
vo dekho holikā jaltī jaa.e
jahāñ meñ sachchā.ī rah jaa.e
lo jiitā ab parhalād kumār
huī hiranyakashyap kī haar
jalā ab jhuuT bachā hai sāñch
nahīñ hai sāñch ko koī aañch
sabhī ab holī gaate haiñ
ḳhushī se nāchte jaate haiñ
bichhā hai ruup rañg kā jaal
mahakte ambar uud gulāl
ḳhushī meñ sab bachche nar-nārī
chalā.eñ rañgoñ kī pichkārī
kisī par bhañg kī mastī chhā.e
to koī ab madirā chhalkā.e
vo chheḌe sāzoñ ne sargam
to aao nācheñ chham chham chham
lo aayā holī kā tyauhār
ḳhushī meñ jhuum uTThā sansār
lo aaya holi ka tyauhaar
KHushi mein jhum uTTha sansar
wo dekho holika jalti jae
jahan mein sachchai rah jae
lo jita ab parhalad kumar
hui hiranyakashyap ki haar
jala ab jhuT bacha hai sanch
nahin hai sanch ko koi aanch
sabhi ab holi gate hain
KHushi se nachte jate hain
bichha hai rup rang ka jal
mahakte ambar ud gulal
KHushi mein sab bachche nar-nari
chalaen rangon ki pichkari
kisi par bhang ki masti chhae
to koi ab madira chhalkae
wo chheDe sazon ne sargam
to aao nachen chham chham chham
lo aaya holi ka tyauhaar
KHushi mein jhum uTTha sansar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.