hona sab se baDa uljhawa hai
honā sab se baḌā uljhāvā hai
shāḳh-e-sanobar chāñd kī aas meñ jāgtī hai
aur din-bhar sone vaale ghar kī dahlīzoñ par aa kar baiThte haiñ
aur ḳhvāhish-o-ḳhvāb ke andeshoñ meñ raat
simaTte pairāhan kī lazzat ban kar rauzan-e-dar se jhāñktī hai
bachche maaoñ kī gardan meñ bāñheñ Daale sote haiñ
ḳhvāb hamārī maa.eñ haiñ
ḳhvāb hamārī maa.eñ haiñ
aur raah kināre baiThe laḌke ghar ko jaane vaalā sab se lambā raste chunte haiñ
shādābī is shahr meñ ik din aa.ī thī
shādābī har shahr meñ ik din aatī hai
aur har shahr ke ik goshe meñ sannāTe kī chādar taane
ek akelā ghar sotā hai
baarī baarī ek ik aane vaalā
ek na ik din us ghar meñ aatā hai
shādābī us shahr meñ ik din aa.ī thī
us din shahr-e-panāh meñ sab se pahlā aane vaalā maiñ thā
aur chāñd samān jhalājhal chehre fānūsoñ kā saut bane the
chāñd akelā ghar
so ik din har jaane vaalā us ghar meñ jaatā hai
maa.eñ apne bachchoñ ko us ghar meñ jā kar jantī haiñ
bahneñ Dhol suhāg alaap ke rotī haiñ
aur beTe
saaz sajā.e maidānoñ meñ ghoḌe dauḌāte haiñ
ḳhemoñ meñ har raat alaav jalā.e jaate haiñ
aur zaḳhmī jism ko dāġhā jaatā hai
aur marne vāloñ kī fihrist banā.ī jaatī hai
ḳhvāhish ḳhvāb andeshe ḳhauf
kabhī na thakne vaale payāde
ham maidānī log
so ik din har jaane vaalā us ghar meñ jaatā hai
is ke ba.ad jo hai vo shahr-e-panāh meñ aane kā pachhtāvā hai
honā sab se baḌā uljhāva hai
hona sab se baDa uljhawa hai
shaKH-e-sanobar chand ki aas mein jagti hai
aur din-bhar sone wale ghar ki dahlizon par aa kar baiThte hain
aur KHwahish-o-KHwab ke andeshon mein raat
simaTte pairahan ki lazzat ban kar rauzan-e-dar se jhankti hai
bachche maon ki gardan mein banhen Dale sote hain
KHwab hamari maen hain
KHwab hamari maen hain
aur rah kinare baiThe laDke ghar ko jaane wala sab se lamba raste chunte hain
shadabi is shahr mein ek din aai thi
shadabi har shahr mein ek din aati hai
aur har shahr ke ek goshe mein sannaTe ki chadar tane
ek akela ghar sota hai
bari bari ek ek aane wala
ek na ek din us ghar mein aata hai
shadabi us shahr mein ek din aai thi
us din shahr-e-panah mein sab se pahla aane wala main tha
aur chand saman jhalajhal chehre fanuson ka saut bane the
chand akela ghar
so ek din har jaane wala us ghar mein jata hai
maen apne bachchon ko us ghar mein ja kar janti hain
bahnen Dhol suhag alap ke roti hain
aur beTe
saz sajae maidanon mein ghoDe dauDate hain
KHemon mein har raat alaw jalae jate hain
aur zaKHmi jism ko dagha jata hai
aur marne walon ki fihrist banai jati hai
KHwahish KHwab andeshe KHauf
kabhi na thakne wale payaade
hum maidani log
so ek din har jaane wala us ghar mein jata hai
is ke baad jo hai wo shahr-e-panah mein aane ka pachhtawa hai
hona sab se baDa uljhawa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.