honTon se kam
hoñToñ se kam
garm mahaktī sāñsoñ se
nam āñkhoñ se
tum ne pūchhā
kyā ham se mohabbat karte ho
bas ek harf muñh se niklā
haañ
kitnā ma.amūlī
chhoTā sā
ye nā-mukammal lafz hai
kaise dikhlā.eñ tum ko
us poshīda ḳhvābīda
vaadī ko
jis meñ
nuur kī bārish hotī hai
jharne bahte haiñ naġhmoñ ke
aur base qad-āvar peḌ chīnār ke
apne jhil-mil sabz ḳhunuk sāyoñ ko
phailāte haiñ
jaise ḳhud jiine ke raste
ye sab daulat dil ko
tum ne hī to dī hai
honTon se kam
garm mahakti sanson se
nam aankhon se
tum ne puchha
kya hum se mohabbat karte ho
bas ek harf munh se nikla
han
kitna mamuli
chhoTa sa
ye na-mukammal lafz hai
kaise dikhlaen tum ko
us poshida KHwabida
wadi ko
jis mein
nur ki barish hoti hai
jharne bahte hain naghmon ke
aur base qad-awar peD chinar ke
apne jhil-mil sabz KHunuk sayon ko
phailate hain
jaise KHud jine ke raste
ye sab daulat dil ko
tum ne hi to di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.