hujum-e-girya
hameñ bhī ro le hujūm-e-girya ki phir na ā.eñge ġham ke mausam
hameñ bhī ro le ki ham vahī haiñ
jo āftāboñ kī bastiyoñ se surāġh laa.e the un saveroñ kā jin ko shabnam ke pahle qatroñ ne ġhusl baḳhshā
safed rañgoñ se nūr-e-ma.anī nikāl lete the aur chāñdī ujālte the
shafaq pe Thahre sunahre bādal se zard sone ko Dhālte the
ḳhunuk havāoñ meñ ḳhushbuoñ ko milā ke un ko uḌāne vaale
sabā kī partoñ pe sher likh kar adam kī shakleñ banāne vaale
dimāġh rakhte the lafz o ma.anī kā aur dast-e-hunar ke mālik
vaqār-e-nūr-e-charāġh ham the
hameñ bhī ro le hujūm-e-girya
hameñ bhī ro le ki ham vahī haiñ
jo tez āñdhī meñ saaf chehroñ ko dekh lete the aur sāñsoñ ko bhāñpte the
falak-nashīnoñ se guftugūeñ thiiñ aur pariyoñ se khelte the
karīm logoñ kī sohbatoñ meñ kushāda kū-e-saḳhā ko dekhā
kabhī na rokā thā ham ko sūraj ke chobdāroñ ne qasr-e-baizā ke dāḳhle se
vahī to ham haiñ
vahī to ham haiñ jo luT chuke haiñ hafīz rāhoñ pe luTne vaale
usī falak kī siyah-zamīñ par jahāñ pe larzāñ haiñ shor-e-nāla se ādiloñ kī sunahrī kaḌiyāñ
hameñ bhī ro le hujūm-e-girya
hameñ bhī ro le ki in dinoñ meñ hamārī pushtoñ pe baar hotā hai zaḳhm-e-tāza ke surḳh phūloñ kā aur gardan meñ sard aahan kī kohna laḌiyāñ
hamārī zid meñ safed nāḳhun qalam banāne meñ dast-e-qātil kā saath dete haiñ aur neze uchhālte haiñ
havā kī lahroñ ne reg-e-sahrā kī tez dhāroñ se rishte joḌe
sharīr hāthoñ se kañkaroñ kī siyāh bārish ke rābte haiñ
hamārī zid meñ hī mulkoñ mulkoñ ke shahryāroñ ne ahd bāñdhe
yahī ki ham ko dhueñ se bāñdheñ aur ab dhueñ se bañdhe hue haiñ
so ham pe rone ke nauha karne ke din yahī haiñ hujūm-e-girya
ki musta.id haiñ hamāre mātam ko gahre sāyoñ kī sard shāmeñ
ḳhizāñ-rasīda tavīl shāmeñ
hameñ bhī ro le hujūm-e-girya ki phir na ā.eñge ġham ke mausam
hamein bhi ro le hujum-e-girya ki phir na aaenge gham ke mausam
hamein bhi ro le ki hum wahi hain
jo aaftabon ki bastiyon se suragh lae the un saweron ka jin ko shabnam ke pahle qatron ne ghusl baKHsha
safed rangon se nur-e-mani nikal lete the aur chandi ujalte the
shafaq pe Thahre sunahre baadal se zard sone ko Dhaalte the
KHunuk hawaon mein KHushbuon ko mila ke un ko uDane wale
saba ki parton pe sher likh kar adam ki shaklen banane wale
dimagh rakhte the lafz o mani ka aur dast-e-hunar ke malik
waqar-e-nur-e-charagh hum the
hamein bhi ro le hujum-e-girya
hamein bhi ro le ki hum wahi hain
jo tez aandhi mein saf chehron ko dekh lete the aur sanson ko bhanpte the
falak-nashinon se guftuguen thin aur pariyon se khelte the
karim logon ki sohbaton mein kushada ku-e-saKHa ko dekha
kabhi na roka tha hum ko suraj ke chobdaron ne qasr-e-baiza ke daKHle se
wahi to hum hain
wahi to hum hain jo luT chuke hain hafiz rahon pe luTne wale
usi falak ki siyah-zamin par jahan pe larzan hain shor-e-nala se aadilon ki sunahri kaDiyan
hamein bhi ro le hujum-e-girya
hamein bhi ro le ki in dinon mein hamari pushton pe bar hota hai zaKHm-e-taza ke surKH phulon ka aur gardan mein sard aahan ki kohna laDiyan
hamari zid mein safed naKHun qalam banane mein dast-e-qatil ka sath dete hain aur neze uchhaalte hain
hawa ki lahron ne reg-e-sahra ki tez dhaaron se rishte joDe
sharir hathon se kankaron ki siyah barish ke rabte hain
hamari zid mein hi mulkon mulkon ke shahryaron ne ahd bandhe
yahi ki hum ko dhuen se bandhen aur ab dhuen se bandhe hue hain
so hum pe rone ke nauha karne ke din yahi hain hujum-e-girya
ki mustaid hain hamare matam ko gahre sayon ki sard shamen
KHizan-rasida tawil shamen
hamein bhi ro le hujum-e-girya ki phir na aaenge gham ke mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.