Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hunuz yaad hai

Jauhar Nizami

hunuz yaad hai

Jauhar Nizami

MORE BYJauhar Nizami

    zahe-nashāt zahe-husn iztirāb tirā

    nazar chheḌ se bajtā thā jab rabāb tirā

    na ab vo kaif rāteñ na vo bahār ke din

    ki mahv-e-nāz na thā husn-e-lā-javāb tirā

    dam-e-vidā.a vo rañgīñ udāsiyāñ terī

    hunūz yaad hai vo dīda-e-pur-āb tirā

    vo jhuum jhuum ke abr-e-bahār aanā

    vo bijliyoñ taḌap aur vo iztirāb tirā

    vo ibtidā-e-mohabbat vo chāñdnī rāteñ

    vo sehn-e-bāġh meñ hañstā huā shabāb tirā

    sambhal sambhal ke mirī samt vo nigāh tirī

    bachā bachā ke nazar mujh se vo ḳhitāb tirā

    mirā harīm-e-tamannā thā āsmāñ se buland

    is āsmāñ pe chamaktā thā āftāb tirā

    abhī nazar meñ hai rāz-o-niyāz aalam

    vo merī ijz-e-mohabbat vo pech-o-tāb tirā

    kabhī sitam ke liye aur kabhī karam ke liye

    nigāh-e-shoḳh meñ Duubā huā hijāb tirā

    mirā savāl ba-qadr-e-hujūm-e-shauq-e-nihāñ

    hayā aaḌ meñ chhuptā huā javāb tirā

    hanūz yaad hai 'jauhar' ko ai nigār-e-jamīl

    vo iltifāt ke parde meñ ijtināb tirā

    zahe-nashat zahe-husn iztirab tera

    nazar ki chheD se bajta tha jab rabab tera

    na ab wo kaif ki raaten na wo bahaar ke din

    ki mahw-e-naz na tha husn-e-la-jawab tera

    dam-e-widaa wo rangin udasiyan teri

    hunuz yaad hai wo dida-e-pur-ab tera

    wo jhum jhum ke abr-e-bahaar ka aana

    wo bijliyon ki taDap aur wo iztirab tera

    wo ibtida-e-mohabbat wo chandni raaten

    wo sehn-e-bagh mein hansta hua shabab tera

    sambhal sambhal ke meri samt wo nigah teri

    bacha bacha ke nazar mujh se wo KHitab tera

    mera harim-e-tamanna tha aasman se buland

    is aasman pe chamakta tha aaftab tera

    abhi nazar mein hai raaz-o-niyaz ka aalam

    wo meri ijz-e-mohabbat wo pech-o-tab tera

    kabhi sitam ke liye aur kabhi karam ke liye

    nigah-e-shoKH mein Duba hua hijab tera

    mera sawal ba-qadr-e-hujum-e-shauq-e-nihan

    haya ki aaD mein chhupta hua jawab tera

    hanuz yaad hai 'jauhar' ko ai nigar-e-jamil

    wo iltifat ke parde mein ijtinab tera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now