huruf o alfaz ke zaKHire
hurūf o alfāz ke zaḳhīre
yahī haiñ vo dā.ere
ki jin meñ asiir tum bhī ho aur maiñ bhī
tumhārā jo naam
chand harfoñ se mil ke bantā hai
chāhe mafhūm us kā kuchh bhī ho
chāhe mafhūm se vo ḳhālī ho
chāhe us kaifiyat ke bar-aks ho
jo tum meñ numūd paatī hai
aisī ik ruuh
jo kisī jism meñ
kisī ā.īna meñ utrī ho
ek paikar meñ Dhal ga.ī ho
mirā bhī ik naam hai
usī naam se log mujhe jānte haiñ
ye naam bhī
chand alfāz ko milāne se ban gayā hai
ab is kā kiyā zikr mujh pe ye kitnā saj rahā hai
to kyā hamārā tumhārā sambandh itnā hī hai
ki chand alfāz
chand alfāz se mil rahe haiñ
magar isī naam ke to kuchh aur log hoñge
agar na hoñge to kal isī naam ke aur ka.ī log hoñge
agar hamārā vajūd in se kuchh māvarā hai
hurūf o alfāz se sivā hai
to us ke iz.hār kā aur Dhañg kyā hai
huruf o alfaz ke zaKHire
yahi hain wo daere
ki jin mein asir tum bhi ho aur main bhi
tumhaara jo nam
chand harfon se mil ke banta hai
chahe mafhum us ka kuchh bhi ho
chahe mafhum se wo KHali ho
chahe us kaifiyat ke bar-aks ho
jo tum mein numud pati hai
aisi ek ruh
jo kisi jism mein
kisi aaina mein utri ho
ek paikar mein Dhal gai ho
mera bhi ek nam hai
usi nam se log mujhe jaante hain
ye nam bhi
chand alfaz ko milane se ban gaya hai
ab is ka kiya zikr mujh pe ye kitna saj raha hai
to kya hamara tumhaara sambandh itna hi hai
ki chand alfaz
chand alfaz se mil rahe hain
magar isi nam ke to kuchh aur log honge
agar na honge to kal isi nam ke aur kai log honge
agar hamara wajud in se kuchh mawara hai
huruf o alfaz se siwa hai
to us ke izhaar ka aur Dhang kya hai
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 118)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.