husain
husain naam hai ik raushnī ke paikar kā
husain fikr-e-bashar kī aziim manzil hai
husain sīnā-e-insāñ meñ jāgtā dil hai
husain sirf kisī ik bashar kā naam nahīñ
husain ek alāmat hai zindagī ke liye
husain azm-e-safar hai musāfiroñ ke liye
husain ziist ke tapte hue bayābāñ meñ
hai qāfiloñ ke liye ik ghane daraḳht kā naam
hai be-kasoñ ke liye quvvat-e-amal kī misāl
fasurda phūloñ ke dāman pe misl-e-shabnam hai
husain ziist kā ik bā-vaqār parcham hai
husain nam hai ek raushni ke paikar ka
husain fikr-e-bashar ki azim manzil hai
husain sina-e-insan mein jagta dil hai
husain sirf kisi ek bashar ka nam nahin
husain ek alamat hai zindagi ke liye
husain azm-e-safar hai musafiron ke liye
husain zist ke tapte hue bayaban mein
hai qafilon ke liye ek ghane daraKHt ka nam
hai be-kason ke liye quwwat-e-amal ki misal
fasurda phulon ke daman pe misl-e-shabnam hai
husain zist ka ek ba-waqar parcham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.