husn aur maut
jo phuul saare gulistāñ meñ sab se achchhā ho
faroġh-e-nūr ho jis se fazā-e-rañgīñ meñ
ḳhizāñ ke jaur-o-sitam ko na jis ne dekhā ho
bahār ne jise ḳhūn-e-jigar se paalā ho
vo ek phuul samātā hai chashm-e-gulchīñ meñ
hazār phūloñ se ābād bāġh-e-hastī hai
ajal kī aañkh faqat ek ko tarastī hai
ka.ī diloñ kī umīdoñ kā jo sahārā ho
fazā-e-dahr kī ālūdgī se baalā ho
jahāñ meñ aa ke abhī jis ne kuchh na dekhā ho
na qaht-e-aish-o-masarrat na, ġham kī arzānī
kanār-e-rahmat-e-haq meñ use sulātī hai
sukūt-e-shab meñ farishtoñ kī marsiya-ḳhvānī
tavāf karne ko sub.h-e-bahār aatī hai
sabā chaḌhāne ko jannat ke phuul laatī hai
jo phul sare gulistan mein sab se achchha ho
farogh-e-nur ho jis se faza-e-rangin mein
KHizan ke jaur-o-sitam ko na jis ne dekha ho
bahaar ne jise KHun-e-jigar se pala ho
wo ek phul samata hai chashm-e-gulchin mein
hazar phulon se aabaad bagh-e-hasti hai
ajal ki aankh faqat ek ko tarasti hai
kai dilon ki umidon ka jo sahaara ho
faza-e-dahr ki aaludgi se baala ho
jahan mein aa ke abhi jis ne kuchh na dekha ho
na qaht-e-aish-o-masarrat na, gham ki arzani
kanar-e-rahmat-e-haq mein use sulati hai
sukut-e-shab mein farishton ki marsiya-KHwani
tawaf karne ko subh-e-bahaar aati hai
saba chaDhane ko jannat ke phul lati hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 42)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.