husn-e-amal
aao apne dil meñ dard-e-lā-davā paidā kareñ
shiddat-e-ġham meñ masarrat kā mazā paidā kareñ
TuuT jaa.e jin se taġh.īr-e-zamāna kā fusūñ
vo yaqīñ paidā kareñ vo hausla paidā kareñ
nūr-e-ḳhurshīd-o-surayyā jis se ho jaa.e ḳhajil
zarra-e-nāchīz meñ aisī ziyā paidā kareñ
ḳhud-baḳhud uTh jā.eñgī pābandiyāñ māhaul kī
ik zarā ham jazba-e-vahshat-fazā paidā kareñ
vo jo honā chāhte haiñ zindagī meñ kāmyāb
ishq se nisbat junūñ se vāsta paidā kareñ
ho jinheñ manzūr tasḳhīr-e-jahān-e-rang-o-bū
pahle vo chashm-e-haqīqat-āshnā paidā kareñ
rāz-e-hastī ek din hogā ai 'manshā' be-naqāb
shart ye hai ham nigāh-e-bā-safā paidā kareñ
aao apne dil mein dard-e-la-dawa paida karen
shiddat-e-gham mein masarrat ka maza paida karen
TuT jae jin se taghir-e-zamana ka fusun
wo yaqin paida karen wo hausla paida karen
nur-e-KHurshid-o-surayya jis se ho jae KHajil
zarra-e-nachiz mein aisi ziya paida karen
KHud-baKHud uTh jaengi pabandiyan mahaul ki
ek zara hum jazba-e-wahshat-faza paida karen
wo jo hona chahte hain zindagi mein kaamyab
ishq se nisbat junun se wasta paida karen
ho jinhen manzur tasKHir-e-jahan-e-rang-o-bu
pahle wo chashm-e-haqiqat-ashna paida karen
raaz-e-hasti ek din hoga ai 'mansha' be-naqab
shart ye hai hum nigah-e-ba-safa paida karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.