husn-e-qubul
garaj rahā hai siyah mast piil paikar-e-abr
udaas koh kī choTī pe ek tanhā peḌ
uThā rahā hai sū-e-asmāñ vo tanhā shāḳh
sarak rahī hai abhī jis meñ zindagī kī namī
baḌhā ho jaise kisī be-navā kā bekas haath
hujūm-e-yās meñ ik āḳhirī duā ke liye
baras muhīt-e-karam ek baar aur baras
bas ek baar mujhe aur phuul laane de
taḌap rahā hai abhī mujh meñ sāz-o-barg-e-numū
ye merī kaliyāñ ye patte abhī to zindagī huuñ
utar utar mire dāman pe phuul barsā de
machal ke abr ke pardoñ se be-hijāb aayā
duā-e-nīm-shabī kā magar javāb aayā
sharār-e-barq kā haijān
peḌ taur ba-dast
za-farq tā ba-qadam ek phuul
husn-e-qubūl
garaj raha hai siyah mast pil paikar-e-abr
udas koh ki choTi pe ek tanha peD
uTha raha hai su-e-asman wo tanha shaKH
sarak rahi hai abhi jis mein zindagi ki nami
baDha ho jaise kisi be-nawa ka bekas hath
hujum-e-yas mein ek aaKHiri dua ke liye
baras muhit-e-karam ek bar aur baras
bas ek bar mujhe aur phul lane de
taDap raha hai abhi mujh mein saz-o-barg-e-numu
ye meri kaliyan ye patte abhi to zindagi hun
utar utar mere daman pe phul barsa de
machal ke abr ke pardon se be-hijab aaya
dua-e-nim-shabi ka magar jawab aaya
sharar-e-barq ka haijaan
peD taur ba-dast
za-farq ta ba-qadam ek phul
husn-e-qubul
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 708)
- Author : Dr. Abdul Wahid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.