husn-e-qudrat
husn hai maujūd har jā chashm-e-bīnā chāhiye
dīda-e-dil khol kar haañ us ko dekhā chāhiye
us kā jalva hai ayaañ gul-hā-e-rangā-rang se
sabze meñ shāḳhoñ meñ ghar us ne kiyā sau Dhang se
jāguzīñ hai raat din ye bahr-o-bar ke des meñ
shahr meñ aatā hai ye la.al-o-gohar ke bhes meñ
husn-e-qudrat munhasir kuchh chhoTī chīzoñ par nahīñ
balki ye jalva-numā hai har jahāñ meñ har kahīñ
koh-o-rāġh-o-abr-o-bād-o-mahr-o-mah jinn-o-bashar
nūr-e-husn-e-haq se haiñ ye sab munavvar sar-basar
hai jahāñ saarā munavvar aur mandar husn kā
dekhiye jo ghar nazar aatā hai vo ghar husn kā
āshnā haiñ jo vajūd-e-husn-e-qudrat se vo sab
jānte haiñ aap ko mahsūr-e-nūr-e-husn-e-rab
dil agar daanā buvad dar har-suḳhan asrār hast
chashm gar biinā buvad yūsuf ba-har-bāzār hast
husn hai maujud har ja chashm-e-bina chahiye
dida-e-dil khol kar han us ko dekha chahiye
us ka jalwa hai ayan gul-ha-e-ranga-rang se
sabze mein shaKHon mein ghar us ne kiya sau Dhang se
jaguzin hai raat din ye bahr-o-bar ke des mein
shahr mein aata hai ye lal-o-gohar ke bhes mein
husn-e-qudrat munhasir kuchh chhoTi chizon par nahin
balki ye jalwa-numa hai har jahan mein har kahin
koh-o-ragh-o-abr-o-baad-o-mahr-o-mah jinn-o-bashar
nur-e-husn-e-haq se hain ye sab munawwar sar-basar
hai jahan sara munawwar aur mandar husn ka
dekhiye jo ghar nazar aata hai wo ghar husn ka
aashna hain jo wajud-e-husn-e-qudrat se wo sab
jaante hain aap ko mahsur-e-nur-e-husn-e-rab
dil agar dana buwad dar har-suKHan asrar hast
chashm gar bina buwad yusuf ba-har-bazar hast
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.