husn-e-sar-e-rah
guzar rahā hai idhar se to muskurātā jā
khile nahīñ haiñ jo ġhunche unheñ khilātā jā
tujhe qasam hai sukūñ-āzmā nigāhoñ kī
kisī ġharīb kī taqdīr ko jagātā jā
vahī nigāh vahī ik tabassum-e-rangīñ
charāġh-e-anjuman-e-yās ko bujhātā jā
junūñ-navāz tirī mast-gāmiyoñ ke nisār
kamand-e-hosh-o-ḳhirad se mujhe chhuḌātā jā
fareb-ḳhurda-e-bazm-e-hayāt huuñ ya.anī
mirī nigāh se ab ye hijāb uThātā jā
uThā ke chehra-e-rangīñ se parda-e-asrār
harīm-e-dil ko phir ik baar jagmagātā jā
guzar raha hai idhar se to muskuraata ja
khile nahin hain jo ghunche unhen khilata ja
tujhe qasam hai sukun-azma nigahon ki
kisi gharib ki taqdir ko jagata ja
wahi nigah wahi ek tabassum-e-rangin
charagh-e-anjuman-e-yas ko bujhata ja
junun-nawaz teri mast-gamiyon ke nisar
kamand-e-hosh-o-KHirad se mujhe chhuData ja
fareb-KHurda-e-bazm-e-hayat hun yani
meri nigah se ab ye hijab uThata ja
uTha ke chehra-e-rangin se parda-e-asrar
harim-e-dil ko phir ek bar jagmagata ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.