husn mein gunah ki KHwahish
husn to bas do tarah kā ḳhuub lagtā hai mujhe
aag meñ jaltā huā
yā barf meñ soyā huā
darmiyāñ meñ kuchh nahīñ
sirf halkā sā achambhā aks sā uḌtā huā
ik ḳhayāl-añgez qissa apnī aadhī maut kā
ik alam-afzā fasāna ḳhūn-e-dil ke shauq kā
ik kināre se sadā do to vo chaltī jā.egī
duur tak apne gunah par haath maltī jā.egī
husn to bas do tarah ka KHub lagta hai mujhe
aag mein jalta hua
ya barf mein soya hua
darmiyan mein kuchh nahin
sirf halka sa achambha aks sa uDta hua
ek KHayal-angez qissa apni aadhi maut ka
ek alam-afza fasana KHun-e-dil ke shauq ka
ek kinare se sada do to wo chalti jaegi
dur tak apne gunah par hath malti jaegi
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 133)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.