husn najat-dahinda hai
sirf husn
haañ. sirf husn najāt-dahindā hai
āñkhoñ kā
jo ghaTiyā pinjroñ meñ qaid hai
aur ma.amūlī manāzir meñ mahbūs
kisī galī-saḌī lā-yāniyat kī tarah najis
kisī bhūle hue lafz kī tarah āseb-zada
kyuuñ nahīñ buujh letī aulād-e-ādam
ki khul jā.egā saarā chhupāo
ek haibatnāk ḳhālī Thahrāo meñ
jo ek saffāk bedārī se mohr-band hai
ek madfūn parvāz kī tarah
ek hunūt-shuda ufuq kī tarah
bil-āḳhir hastī kī zād-būm par dhund chhā ga.ī
ab cockroach ġhārat-gar fāteh haiñ
us kā.enāt ke jahāñ vaqt abhī ajnabī nahīñ huā
un kī saltanat meñ tārīḳh mamnua hai
zamāne par ḳharāsh Dāltī ḳhār-dār tuġhyānī
havādis se pare chaltī huī
Takrā rahī hai qadīm chaTTānoñ se
ek bahut hī siyāh raat ke sahme hue sitāre
ek pur-haul fazā meñ saañs letī ḳhāmoshī
jise ham ḳhvāb karnā chāhte haiñ
ḳhvāb jauhar haiñ asiil niiñd kā
insānī āñkhoñ kā
hamāre sayyāre
aur hamāre zamāne itne ḳhallāq nahīñ haiñ
ki banā sakeñ ek sachchī raat
jo sahār sake
abdiyat se tarāshī huī vo tahdār gahrā.ī
jis se taḳhayyul kā qimāsh bunā gayā hai
yaqīnan hameñ ek niiñd kī zarūrat hai
kisī asātīrī sitāre kā dabīz kā hī saayā
ġhaibī dhundalke ko sañvārtā ujāltā
ek dil, ek zaḳhm---- banā sakte haiñ dekhe ko an-dekhā
dard kafīl hai ruuh kā
lafz kī bulūġhat tak shole kī puḳhtagī tak
sirf husn
han sirf husn najat-dahinda hai
aankhon ka
jo ghaTiya pinjron mein qaid hai
aur mamuli manazir mein mahbus
kisi gali-saDi la-yaniyat ki tarah najis
kisi bhule hue lafz ki tarah aaseb-zada
kyun nahin bujh leti aulad-e-adam
ki khul jaega sara chhupao
ek haibatnak KHali Thahrao mein
jo ek saffak bedari se mohr-band hai
ek madfun parwaz ki tarah
ek hunut-shuda ufuq ki tarah
bil-aKHir hasti ki zad-bum par dhund chha gai
ab cockroach ghaarat-gar fateh hain
us kaenat ke jahan waqt abhi ajnabi nahin hua
un ki saltanat mein tariKH mamnua hai
zamane par KHarash Dalti KHar-dar tughyani
hawadis se pare chalti hui
Takra rahi hai qadim chaTTanon se
ek bahut hi siyah raat ke sahme hue sitare
ek pur-haul faza mein sans leti KHamoshi
jise hum KHwab karna chahte hain
KHwab jauhar hain asil nind ka
insani aankhon ka
hamare sayyare
aur hamare zamane itne KHallaq nahin hain
ki bana saken ek sachchi raat
jo sahaar sake
abdiyat se tarashi hui wo tahdar gahrai
jis se taKHayyul ka qimash buna gaya hai
yaqinan hamein ek nind ki zarurat hai
kisi asatiri sitare ka dabiz ka hi saya
ghaibi dhundalke ko sanwarta ujalta
ek dil, ek zaKHm---- bana sakte hain dekhe ko an-dekha
dard kafil hai ruh ka
lafz ki bulughat tak shole ki puKHtagi tak
- Book : andhi ka rajz (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.