huk
jab kitāboñ ke navishtoñ se phisal kar
mirī darmāñda nigāh
chār-sū phaile hue safha-e-ayyām pe jā paḌtī hai
dil meñ ik huuk sī uThtī hai
ubhar aate haiñ dukhte hue jāñkāh savāl
phir isī huuk ke lahje meñ ḳhudā boltā hai
zindagānī kī kaḌī sharteñ haiñ
ye ibādat hai tumhārī ki mire baḳhshe hue dukh jhelo
in parindoñ kaa, bahā.im kā tasavvuf dekho
kaise minqār-shikasta taa.ir
daane daane ko taras jaatā hai dānoñ meñ ghirā
musht-e-par ḳhaak meñ Dhal jaatī hai rafta rafta
jaan kho dene ke be-zār irāde ke baġhair
kisī shikve ke baġhair''
aur ye mujh se baḌā dars samajh meñ nahīñ aatā merī
kis liye us kī mashiyyat ne kiyā dukh paidā
sochtā huuñ to Dhalak aate haiñ ashkoñ meñ savāl
hai mirī soch mire apne liye ek azaab
us pe aa.ed hī nahīñ mere savāloñ kā javāb
jab kitabon ke nawishton se phisal kar
meri darmanda nigah
chaar-su phaile hue safha-e-ayyam pe ja paDti hai
dil mein ek huk si uThti hai
ubhar aate hain dukhte hue jaankah sawal
phir isi huk ke lahje mein KHuda bolta hai
zindagani ki kaDi sharten hain
ye ibaadat hai tumhaari ki mere baKHshe hue dukh jhelo
in parindon ka, bahaim ka tasawwuf dekho
kaise minqar-shikasta tair
dane dane ko taras jata hai danon mein ghira
musht-e-par KHak mein Dhal jati hai rafta rafta
jaan kho dene ke be-zar irade ke baghair
kisi shikwe ke baghair
aur ye mujh se baDa dars samajh mein nahin aata meri
kis liye us ki mashiyyat ne kiya dukh paida
sochta hun to Dhalak aate hain ashkon mein sawal
hai meri soch mere apne liye ek azab
us pe aaed hi nahin mere sawalon ka jawab
- Book : imkaan (Pg. 63)
- Author : khurshiid rizavii
- Publication : haji hanif printer lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.