huzn-e-insan
Interesting Fact
A satire on Platonic love
jism aur ruuh meñ āhañg nahīñ
lazzat-andoz-e-dil-āvezī-e-mauhūm hai to
ḳhasta-e-kashmakash-e-fikr-o-amal
tujh ko hai hasrat-e-iz.hār-e-shabāb
aur iz.hār se ma.azūrī bhī hai
jism nekī ke ḳhayālāt se mafrūr bhī hai
is qadar saada o ma.asūm hai tū
phir bhī nekī hī kiye jaatī hai
ki dil o jism ke āhañg se mahrūm hai tū
jism hai ruuh kī azmat ke liye zīna-e-nūr
mamba-e-kaif-o-surūr
nā-rasā aaj bhī hai shauq-e-parastār-e-jamāl
aur insāñ hai ki hai jāda-kash-e-rāh-e-tavīl
rūh-e-yūnāñ pe salām
ik zamistāñ kī hasīn raat kā hañgām-e-tapāk
us kī lazzāt se āgāh hai kaun
ishq hai tere liye naġhma-e-ḳhām
ki dil o jism ke āhañg se mahrūm hai tū
jism aur ruuh ke āhañg se mahrūm hai tū
varna shab-hā-e-zamistāñ abhī be-kār nahīñ
aur na be-sūd haiñ ayyām-e-bahār
aah insāñ ki hai vahmoñ kā parastār abhī
husn bechāre ko dhokā sā diye jaatā hai
zauq-e-taqdīs pe majbūr kiye jaatā hai
TuuT jā.eñge kisī roz mazāmīr ke taar
muskurā de ki hai tābinda abhī terā shabāb
hai yahī hazrat-e-yazdāñ ke tamasḳhur kā javāb
jism aur ruh mein aahang nahin
lazzat-andoz-e-dil-awezi-e-mauhum hai to
KHasta-e-kashmakash-e-fikr-o-amal
tujh ko hai hasrat-e-izhaar-e-shabab
aur izhaar se mazuri bhi hai
jism neki ke KHayalat se mafrur bhi hai
is qadar sada o masum hai tu
phir bhi neki hi kiye jati hai
ki dil o jism ke aahang se mahrum hai tu
jism hai ruh ki azmat ke liye zina-e-nur
mamba-e-kaif-o-surur
na-rasa aaj bhi hai shauq-e-parastar-e-jamal
aur insan hai ki hai jada-kash-e-rah-e-tawil
ruh-e-yunan pe salam
ek zamistan ki hasin raat ka hangam-e-tapak
us ki lazzat se aagah hai kaun
ishq hai tere liye naghma-e-KHam
ki dil o jism ke aahang se mahrum hai tu
jism aur ruh ke aahang se mahrum hai tu
warna shab-ha-e-zamistan abhi be-kar nahin
aur na be-sud hain ayyam-e-bahaar
aah insan ki hai wahmon ka parastar abhi
husn bechaare ko dhoka sa diye jata hai
zauq-e-taqdis pe majbur kiye jata hai
TuT jaenge kisi roz mazamir ke tar
muskura de ki hai tabinda abhi tera shabab
hai yahi hazrat-e-yazdan ke tamasKHur ka jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.