Hyderabad
jagmagātī huī yādoñ ke hasīn āñchal meñ
aaj phir qāfila-e-sub.h-o-masā Thahrā hai
shahr ke dil ke dhaḌakne kī sadā tez hui
pyaar kī chhāñv meñ ik giit ne lī añgḌā.ī
daur-e-tārīḳh kī betāb guzargāhoñ se
kitne phūloñ kī mahak le ke mohabbat aa.ī
har taraf ab bhī ham-āġhosh hai ta.abīroñ se
ek dildār ke ḳhvāboñ kī javāñ ra.anā.ī
husn ke naam se baaqī hai chamak tāroñ kī
ishq ke paas hai andāz-e-chaman-ārā.ī
terī tahzīb kī rāhoñ meñ luTāne hoñge
dīda-o-dil kī umangoñ ne ḳhazāne kitne
in fazāoñ meñ hai ehsās-e-vafā kī ḳhushbū
ye dar-o-bām sunāte haiñ fasāne kitne
tere māthe pe hai almās-o-guhar kī tābish
tere hoñToñ pe haiñ bedār tarāne kitne
terī shādāb bahāroñ se gale milte haiñ
zindagānī ke ujāloñ meñ zamāne kitne
jagmagātī huī yādoñ ke hasīñ āñchal meñ
aaj phir qāfila-e-sub.h-o-masā Thahrā hai
jagmagati hui yaadon ke hasin aanchal mein
aaj phir qafila-e-subh-o-masa Thahra hai
shahr ke dil ke dhaDakne ki sada tez hui
pyar ki chhanw mein ek git ne li angDai
daur-e-tariKH ki betab guzargahon se
kitne phulon ki mahak le ke mohabbat aai
har taraf ab bhi ham-aghosh hai tabiron se
ek dildar ke KHwabon ki jawan ranai
husn ke nam se baqi hai chamak taron ki
ishq ke pas hai andaz-e-chaman-arai
teri tahzib ki rahon mein luTane honge
dida-o-dil ki umangon ne KHazane kitne
in fazaon mein hai ehsas-e-wafa ki KHushbu
ye dar-o-baam sunate hain fasane kitne
tere mathe pe hai almas-o-guhar ki tabish
tere honTon pe hain bedar tarane kitne
teri shadab bahaaron se gale milte hain
zindagani ke ujalon mein zamane kitne
jagmagati hui yaadon ke hasin aanchal mein
aaj phir qafila-e-subh-o-masa Thahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.