maiñ ek chhichhlā aadmī huuñ
mere dost bhī merī tarah hī haiñ
shahr kī har aisī vaisī jagah
kabhī na kabhī ham se gulzār rahī hai
ham ne apnā kaafī vaqt
ūl-julūl kāmoñ meñ lagāyā hai
aur duniyā badalne jaise
ūT-paTāñg ḳhvāb dekhe haiñ
aur ab
jab ham par duniyā kā sach khulā hai
ham muñh chhupā.e nazar churā.e
piiTh par aatmā laade
vichār-dhārā le lo
kī āvāz lagāte
galī galī ghuum rahe haiñ
chhichhle paanī meñ
koī baḌī shai Dūbte dekhnā
nāyāb nazārā hotā hai
to
aao aao aao
mujhe mere chhichhle-pan meñ Dūbte dekho
ticket hazār rupa.e maatr
main ek chhichhla aadmi hun
mere dost bhi meri tarah hi hain
shahr ki har aisi waisi jagah
kabhi na kabhi hum se gulzar rahi hai
hum ne apna kafi waqt
ul-julul kaamon mein lagaya hai
aur duniya badalne jaise
uT-paTang KHwab dekhe hain
aur ab
jab hum par duniya ka sach khula hai
hum munh chhupae nazar churae
piTh par aatma lade
wichaar-dhaara le lo
ki aawaz lagate
gali gali ghum rahe hain
chhichhle pani mein
koi baDi shai Dubte dekhna
nayab nazara hota hai
to
aao aao aao
mujhe mere chhichhle-pan mein Dubte dekho
ticket hazar rupae matr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.