i m blue
maiñ tanhā thā
kal bhī aur aaj bhī
maiñ jāntā thā ki maiñ niilā huuñ
lekin tumhārī āvāz par maiñ bāhar nikal aayā
gore kaale aur ḳhākistaryoñ ke darmiyān
aur ab maiñ zaḳhmī huuñ
kaash tum mujh se nafrat kartīñ to maiñ vāpas tanhā.ī ke tane meñ chhup jaatā
jahāñ mere aañsū shāḳhoñ par ugte
aur maiñ fan ke mīThe phal detā
tum ne jab jab āvāz dī
merī tanhā.ī mujh se ruuTh ga.ī
aur maiñ har baar karāhtā huā lauTā
rahm ek afsāna hai
mujh par likh Daalo
kabhī to ehsās ko uñgliyoñ pe gin Daalo
maiñ apne ġhamoñ aur ḳhushiyoñ
eidoñ aur shab-rātoñ kī sāthī
apnī dulhan tanhā.ī ko
bhairvīñ ke komal suroñ kī tarah
sadā suhāgan rakhūñgā
main tanha tha
kal bhi aur aaj bhi
main jaanta tha ki main nila hun
lekin tumhaari aawaz par main bahar nikal aaya
gore kale aur KHakistaryon ke darmiyan
aur ab main zaKHmi hun
kash tum mujh se nafrat kartin to main wapas tanhai ke tane mein chhup jata
jahan mere aansu shaKHon par ugte
aur main fan ke miThe phal deta
tum ne jab jab aawaz di
meri tanhai mujh se ruTh gai
aur main har bar karahta hua lauTa
rahm ek afsana hai
mujh par likh Dalo
kabhi to ehsas ko ungliyon pe gin Dalo
main apne ghamon aur KHushiyon
eidon aur shab-raaton ki sathi
apni dulhan tanhai ko
bhairwin ke komal suron ki tarah
sada suhagan rakhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.