ibaadat
javānī kā jauhar dikhānā paḌegā
tumheñ tiir kī zad par aanā paḌegā
dilerī kī duniyā na.ī phir basā kar
charāġh-e-shujā.at jalānā paḌegā
vatan ke adū par garajte baraste
balā kī ghaTā ban ke chhānā paḌegā
bahā ek qatra jo ashk-e-vatan bhī
tumheñ ḳhuun apnā bahānā paḌegā
vatan kī hifāzat bhī hai ik ibādat
vatan ke liye sar kaTānā paḌegā
jawani ka jauhar dikhana paDega
tumhein tir ki zad par aana paDega
dileri ki duniya nai phir basa kar
charagh-e-shujaat jalana paDega
watan ke adu par garajte baraste
bala ki ghaTa ban ke chhana paDega
baha ek qatra jo ashk-e-watan bhi
tumhein KHun apna bahana paDega
watan ki hifazat bhi hai ek ibaadat
watan ke liye sar kaTana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.