ibaadat ke waqt mein hissa
ibādat meñ
ḳhudā ke vaqt meñ hisse kī ḳhvāhish
na jaane kyuuñ sabhī yādoñ meñ hotī hai
khaḌā rahtā huuñ maiñ bas haath bāñdhe ik kināre se
magar vo qāfila yādoñ kā jaise ḳhatm hone meñ nahīñ aatā
kahāñ sajda karūñ maiñ?
bhuul jaatā huuñ ki raka.at kaun sī hai
musībat hai
gavārā hī nahīñ un ko mirā masjid meñ aanā
mirā jannat meñ jaanā
zarā sī der kī to baat thī
do farz paḌhne the
aur is ke ba.ad maiñ ḳhālī hī ḳhālī thā
magar in hāsidoñ ko kaun samjhā.e
kahīñ ye aaj bhī shāyad
mujhe khone se Dartī haiñ
ibādat se ḳhudā kī
ye jalan mahsūs kartī haiñ
inheñ samjhā.e koī
ibaadat mein
KHuda ke waqt mein hisse ki KHwahish
na jaane kyun sabhi yaadon mein hoti hai
khaDa rahta hun main bas hath bandhe ek kinare se
magar wo qafila yaadon ka jaise KHatm hone mein nahin aata
kahan sajda karun main?
bhul jata hun ki rakat kaun si hai
musibat hai
gawara hi nahin un ko mera masjid mein aana
mera jannat mein jaana
zara si der ki to baat thi
do farz paDhne the
aur is ke baad main KHali hi KHali tha
magar in hasidon ko kaun samjhae
kahin ye aaj bhi shayad
mujhe khone se Darti hain
ibaadat se KHuda ki
ye jalan mahsus karti hain
inhen samjhae koi
- Book : apne tamashe ka ticket (Pg. 66)
- Author : shariq kaifi
- Publication : educational publishing house (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.