ibham dida
muḳhātib
āsmāñ hai yā zamīñ
mālūm kar lenā
ki donoñ ke liye tashbīb ke
misre alag se haiñ
kahīñ aisā na ho
ki āsmāñ bad-zan
zamīñ nārāz ho jaa.e
qasīde meñ gurez-e-nā-ravā kā
moḌ aa jaa.e
tire sar pe koī ilzām aa.ed ho
ki tū bhī andalīb-e-gulshan-e-nā-āfrīda hai
suḳhan-fahmī tirī gunjalak
bayāñ ib.hām-dīda hai
ye mashvara is liye detā huuñ
jān-e-man
ki gardish meñ ghirā hai āsmāñ
barham tabaq saare
zamīñ bhī apne mahvar se alag chakkar lagātī hai
qasīda soch ke likhnā
kahīñ in.aam o ḳhil.at kī jagah
kaasa na bhar jaa.e
malāmat se
ḳhajālat se
nadāmat se
muKHatib
aasman hai ya zamin
malum kar lena
ki donon ke liye tashbib ke
misre alag se hain
kahin aisa na ho
ki aasman bad-zan
zamin naraaz ho jae
qaside mein gurez-e-na-rawa ka
moD aa jae
tere sar pe koi ilzam aaed ho
ki tu bhi andalib-e-gulshan-e-na-afrida hai
suKHan-fahmi teri gunjalak
bayan ibham-dida hai
ye mashwara is liye deta hun
jaan-e-man
ki gardish mein ghira hai aasman
barham tabaq sare
zamin bhi apne mahwar se alag chakkar lagati hai
qasida soch ke likhna
kahin inam o KHilat ki jagah
kasa na bhar jae
malamat se
KHajalat se
nadamat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.