iblagh se pare
fazā meñ īstāda raushnī kā ek mīnār
usī ke paas andhiyāre kī dīvār
idhar vaadī fanā kī
har taraf jis meñ dhuāñ-dhār
jise ghere haiñ kuchh rañgīn bādal
shoḳh, gulnār
us taraf ḳhushbū kī bauchhār
zarā haT kar samundar ilm kā
-jhāgoñ kā ambār)
idhar uljhan
na jaane kyā hai us paar
faza mein istada raushni ka ek minar
usi ke pas andhiyare ki diwar
idhar wadi fana ki
har taraf jis mein dhuan-dhaar
jise ghere hain kuchh rangin baadal
shoKH, gulnar
us taraf KHushbu ki bauchhaar
zara haT kar samundar ilm ka
-jhagon ka ambar)
idhar uljhan
na jaane kya hai us par
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 339)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.