iblis ki majlis-e-shura
iblīs
ye anāsir kā purānā khel ye duniyā-e-dūñ
sākinān-e-arsh-e-āzam kī tamannāoñ kā ḳhuuñ
is kī barbādī pe aaj āmāda hai vo kārsāz
jis ne is kā naam rakhā thā jahān-e-kāf-o-nūñ
maiñ ne dikhlāyā farañgī ko mulūkiyat kā ḳhvāb
maiñ ne toḌā masjid-o-dair-o-kalīsā kā fusūñ
maiñ ne nādāroñ ko sikhlāyā sabaq taqdīr kā
maiñ ne mun.im ko diyā sarmāya daarī kā junūñ
kaun kar saktā hai is kī ātish-e-sozāñ ko sard
jis ke hañgāmoñ meñ ho iblīs kā soz-e-darūñ
jis kī shāḳheñ hoñ hamārī ābiyārī se buland
kaun kar saktā hai is naḳhl-e-kuhan ko sar-nigūñ
pahlā mushīr
is meñ kyā shak hai ki mohkam hai ye iblīsī nizām
puḳhta-tar is se hue ḳhū-e-ġhulāmī meñ avaam
hai azal se in ġharīboñ ke muqaddar meñ sujūd
in kī fitrat kā taqāzā hai namāz-e-be-qayām
aarzū avval to paidā ho nahīñ saktī kahīñ
ho kahīñ paidā to mar jaatī hai yā rahtī hai ḳhaam
ye hamārī sa.ī-e-paiham kī karāmat hai ki aaj
sūfī-o-mullā mulūkiyyat ke bande haiñ tamām
tab-e-mashriq ke liye mauzūñ yahī afyūn thī
varna qavvālī se kuchh kam-tar nahīñ ilm-e-kalām
hai tavāf-o-haj kā hañgāma agar baaqī to kyā
kund ho kar rah ga.ī momin kī teġh-e-be-niyām
kis kī nau-mīdī pe hujjat hai ye farmān-e-jadīd
hai jihād is daur meñ mard-e-musalmāñ par harām
dūsrā mushīr
ḳhair hai sulatānī-e-jamhūr kā ġhauġhā ki shar
tū jahāñ ke taaza fitnoñ se nahīñ hai bā-ḳhabar
pahlā mushīr
huuñ magar merī jahāñ-bīnī batātī hai mujhe
jo mulūkiyat kā ik parda ho kyā is se ḳhatar
ham ne ḳhud shāhī ko pahnāyā hai jamhūrī libās
jab zarā aadam huā hai ḳhud-shanās-o-ḳhud-nigar
kārobār-e-shahryārī kī haqīqat aur hai
ye vajūd-e-mīr-o-sultāñ par nahīñ hai munhasir
majlis-e-millat ho yā parvez kā darbār ho
hai vo sultāñ ġhair kī khetī pe ho jis kī nazar
tū ne kyā dekhā nahīñ maġhrib kā jamhūrī nizām
chehra raushan andarūñ chañgez se tārīk-tar
tīsrā mushīr
rūh-e-sultānī rahe baaqī to phir kyā iztirāb
hai magar kyā is yahūdī kī sharārat kā javāb
vo kalīm-e-be-tajallī vo masīh-e-be-salīb
niist paiġhambar va-lekin dar baġhal dārad kitāb
kyā batā.ūñ kyā hai kāfir kī nigāh-e-parda-soz
mashriq-o-maġhrib kī qaumoñ ke liye roz-e-hisāb
is se baḌh kar aur kyā hogā tabī.at kā fasād
toḌ dī bandoñ ne āqāoñ ke ḳhemoñ kī tanāb
chauthā mushīr
toḌ is kā rūmat-ul-kubrā ke aivānoñ meñ dekh
āl-e-ceaser ko dikhāyā ham ne phir ceaser kā ḳhvāb
kaun bahr-e-rūm kī maujoñ se hai lipTā huā
gaah bālad-chūñ-sanobar gaah nālad-chūñ-rubāb
tīsrā mushīr
maiñ to is kī āqibat-bīnī kā kuchh qaa.il nahīñ
jis ne afrañgī siyāsat ko kyā yuuñ be-hijāb
pāñchvāñ mushīr iblīs ko muḳhātab kar ke
ai tire soz-e-nafas se kār-e-ālam ustuvār
tū ne jab chāhā kiyā har pardagī ko āshkār
āb-o-gil terī harārat se jahān-e-soz-o-sāz
ablah-e-jannat tirī ta.alīm se dānā-e-kār
tujh se baḌh kar fitrat-e-ādam kā vo mahram nahīñ
sāda-dil bandoñ meñ jo mash.hūr hai parvardigār
kaam thā jin kā faqat taqdīs-o-tasbīh-o-tavāf
terī ġhairat se abad tak sar-nigūñ-o-sharmsār
garche haiñ tere murīd afrañg ke sāhir tamām
ab mujhe un kī farāsat par nahīñ hai e'tibār
vo yahūdī fitna-gar vo rūh-e-mazdak kā burūz
har qabā hone ko hai is ke junūñ se taar taar
zaaġh dashtī ho rahā hai ham-sar-e-shāhīn-o-charġh
kitnī sur.at se badaltā hai mizāj-e-rozgār
chhā ga.ī āshufta ho kar vus.at-e-aflāk par
jis ko nādānī se ham samjhe the ik musht-e-ġhubār
fitna-e-fardā kī haibat kā ye aalam hai ki aaj
kāñpte haiñ kohsār-o-murġh-zār-o-jūebār
mere aaqā vo jahāñ zer-o-zabar hone ko hai
jis jahāñ kā hai faqat terī siyādat par madār
iblis
ye anasir ka purana khel ye duniya-e-dun
sakinan-e-arsh-e-azam ki tamannaon ka KHun
is ki barbaadi pe aaj aamada hai wo karsaz
jis ne is ka nam rakha tha jahan-e-kaf-o-nun
main ne dikhlaya farangi ko mulukiyat ka KHwab
main ne toDa masjid-o-dair-o-kalisa ka fusun
main ne nadaron ko sikhlaya sabaq taqdir ka
main ne munim ko diya sarmaya dari ka junun
kaun kar sakta hai is ki aatish-e-sozan ko sard
jis ke hangamon mein ho iblis ka soz-e-darun
jis ki shaKHen hon hamari aabiyari se buland
kaun kar sakta hai is naKHl-e-kuhan ko sar-nigun
pahla mushir
is mein kya shak hai ki mohkam hai ye iblisi nizam
puKHta-tar is se hue KHu-e-ghulami mein awam
hai azal se in gharibon ke muqaddar mein sujud
in ki fitrat ka taqaza hai namaz-e-be-qayam
aarzu awwal to paida ho nahin sakti kahin
ho kahin paida to mar jati hai ya rahti hai KHam
ye hamari sai-e-paiham ki karamat hai ki aaj
sufi-o-mulla mulukiyyat ke bande hain tamam
tab-e-mashriq ke liye mauzun yahi afyun thi
warna qawwali se kuchh kam-tar nahin ilm-e-kalam
hai tawaf-o-haj ka hangama agar baqi to kya
kund ho kar rah gai momin ki tegh-e-be-niyam
kis ki nau-midi pe hujjat hai ye farman-e-jadid
hai jihad is daur mein mard-e-musalman par haram
dusra mushir
KHair hai sulatani-e-jamhur ka ghaugha ki shar
tu jahan ke taza fitnon se nahin hai ba-KHabar
pahla mushir
hun magar meri jahan-bini batati hai mujhe
jo mulukiyat ka ek parda ho kya is se KHatar
hum ne KHud shahi ko pahnaya hai jamhuri libas
jab zara aadam hua hai KHud-shanas-o-KHud-nigar
karobar-e-shahryari ki haqiqat aur hai
ye wajud-e-mir-o-sultan par nahin hai munhasir
majlis-e-millat ho ya parwez ka darbar ho
hai wo sultan ghair ki kheti pe ho jis ki nazar
tu ne kya dekha nahin maghrib ka jamhuri nizam
chehra raushan andarun changez se tarik-tar
tisra mushir
ruh-e-sultani rahe baqi to phir kya iztirab
hai magar kya is yahudi ki shararat ka jawab
wo kalim-e-be-tajalli wo masih-e-be-salib
nist paighambar wa-lekin dar baghal darad kitab
kya bataun kya hai kafir ki nigah-e-parda-soz
mashriq-o-maghrib ki qaumon ke liye roz-e-hisab
is se baDh kar aur kya hoga tabiat ka fasad
toD di bandon ne aaqaon ke KHemon ki tanab
chautha mushir
toD is ka rumat-ul-kubra ke aiwanon mein dekh
aal-e-ceaser ko dikhaya hum ne phir ceaser ka KHwab
kaun bahr-e-rum ki maujon se hai lipTa hua
gah baalad-chun-sanobar gah nalad-chun-rubab
tisra mushir
main to is ki aaqibat-bini ka kuchh qail nahin
jis ne afrangi siyasat ko kya yun be-hijab
panchwan mushir iblis ko muKHatab kar ke
ai tere soz-e-nafas se kar-e-alam ustuwar
tu ne jab chaha kiya har pardagi ko aashkar
aab-o-gil teri hararat se jahan-e-soz-o-saz
ablah-e-jannat teri talim se dana-e-kar
tujh se baDh kar fitrat-e-adam ka wo mahram nahin
sada-dil bandon mein jo mashhur hai parwardigar
kaam tha jin ka faqat taqdis-o-tasbih-o-tawaf
teri ghairat se abad tak sar-nigun-o-sharmsar
garche hain tere murid afrang ke sahir tamam
ab mujhe un ki farasat par nahin hai e'tibar
wo yahudi fitna-gar wo ruh-e-mazdak ka buruz
har qaba hone ko hai is ke junun se tar tar
zagh dashti ho raha hai ham-sar-e-shahin-o-chargh
kitni surat se badalta hai mizaj-e-rozgar
chha gai aashufta ho kar wusat-e-aflak par
jis ko nadani se hum samjhe the ek musht-e-ghubar
fitna-e-farda ki haibat ka ye aalam hai ki aaj
kanpte hain kohsar-o-murgh-zar-o-juebar
mere aaqa wo jahan zer-o-zabar hone ko hai
jis jahan ka hai faqat teri siyaadat par madar
- Book : Kulliyat-e-Iqbal (Pg. 539)
- Author : Iqbal
- Publication : Dawat Offset Printers, Delhi-110006 (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.