ibn-e-adam
koī jab pūchhtā hai ye
shii.a ho tum yā sunnī ho
vahābī ho ki deobandi
batāo kaun se firqe se nisbat hai
na jaane kyoñ mujhe ik pal
sujhā.ī kuchh nahīñ detā
maiñ gahrī soch meñ tab Duub jaatā huuñ
mire andar se ik āvāz aatī hai
sunā hai tum ne bachpan se
ki tum to ibn-e-ādam ho
to phir sach sach batāo nā
musalmānoñ ke firqe kyā
ki hindū sikh īsā.ī
pārsī tak bhī
jahāñ meñ jitne insāñ haiñ
mire baabā ke beTe haiñ
ye maanā shakl-o-sūrat meñ
zarā se muḳhtalif hoñge
ragoñ meñ dauḌtā hai jo
lahū to ek jaisā hai
sabhī aulād-e-ādam se
ki jis meñ ādamiyat ho
mirī to us se nisbat hai
usī se ḳhuun kā rishta
yahī sach hai
ki jab maiñ ibn-e-ādam huuñ
mirā maz.hab vahī hai jo
mire baabā kā maz.hab hai
koi jab puchhta hai ye
shia ho tum ya sunni ho
wahabi ho ki deobandi
batao kaun se firqe se nisbat hai
na jaane kyon mujhe ek pal
sujhai kuchh nahin deta
main gahri soch mein tab Dub jata hun
mere andar se ek aawaz aati hai
suna hai tum ne bachpan se
ki tum to ibn-e-adam ho
to phir sach sach batao na
musalmanon ke firqe kya
ki hindu sikh isai
parsi tak bhi
jahan mein jitne insan hain
mere baba ke beTe hain
ye mana shakl-o-surat mein
zara se muKHtalif honge
ragon mein dauDta hai jo
lahu to ek jaisa hai
sabhi aulad-e-adam se
ki jis mein aadamiyat ho
meri to us se nisbat hai
usi se KHun ka rishta
yahi sach hai
ki jab main ibn-e-adam hun
mera mazhab wahi hai jo
mere baba ka mazhab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.