koh-e-almās par
mausamoñ aur rangoñ ke jaadū bhare des meñ
ibn-e-adnā ko ik baar phir se bulāyā gayā
ibn-e-adnā ki apne kamāl-e-mahārat meñ be-misl thā
ek amboh us ke fusūñ kī itā'at meñ thā
devtāoñ kā vo lāDlā
qaum kī rahbarī us ke hisse meñ thī
ḳhilqat-e-shahr sab us ke halqe meñ thī
be-zabāñ
ḳhilqat-e-shahr-e-āzurdagāñ
āsmāñ se utārī ga.ī mushkiloñ se nabard-āzmā nīm-jāñ
apnī hālat pe nauha-kunāñ
aur vo
har nafas devtāoñ kī hamd-o-munājāt meñ musta'id
ek nūrānī bahrūp
jis ke tavassul se is shahr-e-zulmāt meñ
mushkiloñ ke ḳhudāoñ kī saarī ḳhudā.ī
bahut shaan se
zindagī ke shajar se ḳharāj-e-musalsal talab kar rahī thī
ibn-e-adnā ne nīchī nigāhoñ se kul devtāoñ ko tā'zīm dī
dil meñ aa.ī ki maiñ markaz-e-tā'at-o-zuhd huuñ
maiñ zamīñ par ḳhudāoñ kā naa.eb huuñ
aur qadr-o-qīmat meñ nāyāb huuñ
ḳhilqat-e-'ām bhī mere jaadū kī muTThī meñ hai
ḳhilqat-e-'ām jis ke lahū aur pasīne se
in mā'badoñ aur mahloñ kī īñToñ kā gaarā banāyā gayā
ek lamhe ko kuchh yaad aayā
magar
is se pahle ki harf-e-talab
aur harf-e-shikāyat kī talḳhī zabāñ-gīr ho
ek aahaT huī
mahzar-e-ḳhās ke dar pe
donoñ taraf
us ke jaise
ka.ī ibn-e-adnā
mahaz ik ishāre pe
ḳhalq-e-ḳhudā ke lahū se
mahallāt ke bām-o-dar pe na.ī naqsh-ārā.ī ke muntazir
dast-basta dikhā.ī diye
aur vo
be-jhijhak sajda-e-shukr meñ gir gayā
koh-e-almas par
mausamon aur rangon ke jadu bhare des mein
ibn-e-adna ko ek bar phir se bulaya gaya
ibn-e-adna ki apne kamal-e-mahaarat mein be-misl tha
ek amboh us ke fusun ki ita'at mein tha
dewtaon ka wo laDla
qaum ki rahbari us ke hisse mein thi
KHilqat-e-shahr sab us ke halqe mein thi
be-zaban
KHilqat-e-shahr-e-azurdagan
aasman se utari gai mushkilon se nabard-azma nim-jaan
apni haalat pe nauha-kunan
aur wo
har nafas dewtaon ki hamd-o-munajat mein musta'id
ek nurani bahrup
jis ke tawassul se is shahr-e-zulmat mein
mushkilon ke KHudaon ki sari KHudai
bahut shan se
zindagi ke shajar se KHaraj-e-musalsal talab kar rahi thi
ibn-e-adna ne nichi nigahon se kul dewtaon ko ta'zim di
dil mein aai ki main markaz-e-ta'at-o-zuhd hun
main zamin par KHudaon ka naeb hun
aur qadr-o-qimat mein nayab hun
KHilqat-e-'am bhi mere jadu ki muTThi mein hai
KHilqat-e-'am jis ke lahu aur pasine se
in ma'badon aur mahlon ki inTon ka gara banaya gaya
ek lamhe ko kuchh yaad aaya
magar
is se pahle ki harf-e-talab
aur harf-e-shikayat ki talKHi zaban-gir ho
ek aahaT hui
mahzar-e-KHas ke dar pe
donon taraf
us ke jaise
kai ibn-e-adna
mahaz ek ishaare pe
KHalq-e-KHuda ke lahu se
mahallat ke baam-o-dar pe nai naqsh-arai ke muntazir
dast-basta dikhai diye
aur wo
be-jhijhak sajda-e-shukr mein gir gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.