ai mere soch-nagar ki rani
tujh se jo maiñ ne pyaar kiyā hai tere liye? nahīñ apne liye
vaqt kī be-unvān kahānī kab tak be-unvān rahe
ai mire soch-nagar kī raanī ai mire ḳhuld-e-ḳhayāl kī huur
itne dinoñ jo maiñ ghultā rahā huuñ tere binā yūñhī duur hī duur
soch to kyā phal mujh ko milā maiñ man se gayā phir tan se gayā
shahr-e-vatan meñ ajnabī Thahrā āḳhir shahr-e-vatan se gayā
ruuh kī pyaas bujhānī thī par yahāñ hoñToñ kī pyaas bhī bujh na sakī
bachte sambhalte bhī ek sulagtā rog banī mire jī kī lagī
duur kī baat na soch abhī mire haat meñ tū zarā haat to de
tujh se jo maiñ ne pyaar kiyā hai tere liye? nahīñ apne liye
baaġh meñ hai ik bele kā taḳhta bhīnī hai is bele kī sugandh
ai kaliyo kyuuñ itne dinoñ tum rakkhe rahīñ ise god meñ band
kitne hī ham se ruup ke rasiyā aa.e yahāñ aur chal bhī diye
tum ho ki itne husn ke hote ek na dāman thaam sake
sehn-e-chaman par bhauñroñ ke bādal ek hī pal ko chhā.eñge
phir na vo jā kar lauT sakeñge phir na vo jā kar ā.eñge
ai mire soch-nagar kī raanī vaqt kī bāteñ rañg aur bū
har koī saath kisī kā DhūñDe gul hoñ ki bele maiñ huuñ ki tū
jo kuchh kahnā hai abhī kah le jo kuchh sunñā hai sun le
tujh se jo maiñ ne pyaar kiyā hai tere liye? nahīñ apne liye
dil kī na pūchho kyā kuchh chāhe dil kā to phailā hai dāman
giit se gaal ġhazal sī āñkheñ sā.ad-e-sīmīñ barg-e-dahan
juuḌe ke inhīñ phūloñ ko dekho kal kī sī in meñ baas kahāñ
ek ik taarā kar ke Duubī māthe kī tannāz afshāñ
sahne kā dukh sah na sake ham kahne kī bāteñ kah na sake
paas tire kabhī aa na sake ham duur bhī tujh se rah na sake
kis se kahe ab ruuh kī biptā kis ko sunā.e man kī baat
duur kī raah bhaTaktā raahī jīvan-rāt ghanerī raat
hoñToñ kī pyaas bujhānī hai ab tire jī ko ye baat lage na lage
tujh se jo maiñ ne pyaar kiyā hai tere liye? nahīñ apne liye
tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye
waqt ki be-unwan kahani kab tak be-unwan rahe
ai mere soch-nagar ki rani ai mere KHuld-e-KHayal ki hur
itne dinon jo main ghulta raha hun tere bina yunhi dur hi dur
soch to kya phal mujh ko mila main man se gaya phir tan se gaya
shahr-e-watan mein ajnabi Thahra aaKHir shahr-e-watan se gaya
ruh ki pyas bujhani thi par yahan honTon ki pyas bhi bujh na saki
bachte sambhalte bhi ek sulagta rog bani mere ji ki lagi
dur ki baat na soch abhi mere hat mein tu zara hat to de
tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye
bagh mein hai ek bele ka taKHta bhini hai is bele ki sugandh
ai kaliyo kyun itne dinon tum rakkhe rahin ise god mein band
kitne hi hum se rup ke rasiya aae yahan aur chal bhi diye
tum ho ki itne husn ke hote ek na daman tham sake
sehn-e-chaman par bhaunron ke baadal ek hi pal ko chhaenge
phir na wo ja kar lauT sakenge phir na wo ja kar aaenge
ai mere soch-nagar ki rani waqt ki baaten rang aur bu
har koi sath kisi ka DhunDe gul hon ki bele main hun ki tu
jo kuchh kahna hai abhi kah le jo kuchh sunna hai sun le
tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye
dil ki na puchho kya kuchh chahe dil ka to phaila hai daman
git se gal ghazal si aankhen saad-e-simin barg-e-dahan
juDe ke inhin phulon ko dekho kal ki si in mein bas kahan
ek ek tara kar ke Dubi mathe ki tannaz afshan
sahne ka dukh sah na sake hum kahne ki baaten kah na sake
pas tere kabhi aa na sake hum dur bhi tujh se rah na sake
kis se kahe ab ruh ki bipta kis ko sunae man ki baat
dur ki rah bhaTakta rahi jiwan-raat ghaneri raat
honTon ki pyas bujhani hai ab tere ji ko ye baat lage na lage
tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.