chand ke tamannai
shahr-e-dil kī galiyoñ meñ
shaam se bhaTakte haiñ
chāñd ke tamannā.ī
be-qarār saudā.ī
dil-gudāz tārīkī
jāñ-gudāz tanhā.ī
rūh-o-jāñ ko Dastī hai
rūh-o-jāñ meñ bastī hai
shahr-e-dil kī galiyoñ meñ
taak shab kī beloñ par
shabnamīñ sarishkoñ kī
be-qarār logoñ ne
be-shumār logoñ ne
yādgār chhoḌī hai
itnī baat thoḌī hai
sad-hazār bāteñ thiiñ
hīla-e-shakebā.ī
sūratoñ kī zebā.ī
qāmatoñ kī ra.anā.ī
un siyāh rātoñ meñ
ek bhī na yaad aa.ī
jā-ba-jā bhaTakte haiñ
kis kī raah takte haiñ
chāñd ke tamannā.ī
ye nagar kabhī pahle
is qadar na vīrāñ thā
kahne vaale kahte haiñ
qarya-e-nigārāñ thā
ḳhair apne jiine kā
ye bhī ek sāmāñ thā
aaj dil meñ vīrānī
abr ban ke ghir aa.ī
aaj dil ko kyā kahiye
bā-vafā na harjā.ī
phir bhī log dīvāne
aa ga.e haiñ samjhāne
apnī vahshat-e-dil ke
bun liye haiñ afsāne
ḳhush-ḳhayāl duniyā ne
garmiyāñ to jaatī haiñ
vo ruteñ bhī aatī haiñ
jab malūl rātoñ meñ
dostoñ kī bātoñ meñ
jī na chain pā.egā
aur uub jā.egā
āhaToñ se gūñjegī
shahr-e-dil kī pinhā.ī
aur chāñd-rātoñ meñ
chāñdnī ke shaidā.ī
har bahāne nikleñge
aarzū kī gīrā.ī
DhūñDne ko rusvā.ī
sard sard rātoñ ko
zard chāñd baḳhshegā
be-hisāb tanhā.ī
be-hijāb tanhā.ī
shahr-e-dil kī galiyoñ meñ
shahr-e-dil ki galiyon mein
sham se bhaTakte hain
chand ke tamannai
be-qarar saudai
dil-gudaz tariki
jaan-gudaz tanhai
ruh-o-jaan ko Dasti hai
ruh-o-jaan mein basti hai
shahr-e-dil ki galiyon mein
tak shab ki belon par
shabnamin sarishkon ki
be-qarar logon ne
be-shumar logon ne
yaadgar chhoDi hai
itni baat thoDi hai
sad-hazar baaten thin
hila-e-shakebai
suraton ki zebai
qamaton ki ranai
un siyah raaton mein
ek bhi na yaad aai
ja-ba-ja bhaTakte hain
kis ki rah takte hain
chand ke tamannai
ye nagar kabhi pahle
is qadar na viran tha
kahne wale kahte hain
qarya-e-nigaran tha
KHair apne jine ka
ye bhi ek saman tha
aaj dil mein virani
abr ban ke ghir aai
aaj dil ko kya kahiye
ba-wafa na harjai
phir bhi log diwane
aa gae hain samjhane
apni wahshat-e-dil ke
bun liye hain afsane
KHush-KHayal duniya ne
garmiyan to jati hain
wo ruten bhi aati hain
jab malul raaton mein
doston ki baaton mein
ji na chain paega
aur ub jaega
aahaTon se gunjegi
shahr-e-dil ki pinhai
aur chand-raaton mein
chandni ke shaidai
har bahane niklenge
aarzu ki girai
DhunDne ko ruswai
sard sard raaton ko
zard chand baKHshega
be-hisab tanhai
be-hijab tanhai
shahr-e-dil ki galiyon mein
- Chand Nagar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.