dil-ashob
yuuñ kahne ko rāheñ mulk-e-vafā kī ujaal gayā
ik dhund milī jis raah meñ paik-e-ḳhayāl gayā
phir chāñd hameñ kisī raat kī god meñ Daal gayā
ham shahr meñ Thahreñ, aisā to jī kā rog nahīñ
aur ban bhī haiñ suune un meñ bhī ham se log nahīñ
aur kūche ko tere lauTne kā to savāl gayā
tire lutf-o-atā kī dhuum sahī mahfil mahfil
ik shaḳhs thā inshā nām-e-mohabbat meñ kāmil
ye shaḳhs yahāñ pāmāl rahā, pāmāl gayā
tirī chaah meñ dekhā ham ne ba-hāl-e-ḳharāb ise
par ishq o vafā ke yaad rahe ādāb ise
tirā naam o maqām jo pūchhā, hañs kar Taal gayā
ik saal gayā, ik saal nayā hai aane ko
par vaqt kī bhī ab hosh nahīñ dīvāne ko
dil haath se is ke vahshī hiran kī misāl gayā
ham ahl-e-vafā ranjūr sahī, majbūr nahīñ
aur shahr-e-vafā se dasht-e-junūñ kuchh duur nahīñ
ham ḳhush na sahī, par tere sar kā vabāl gayā
ab husn ke gaḌ.h aur shahr-panāheñ suunī haiñ
vo jo āshnā the un sab kī nigāheñ suunī haiñ
par tū jo gayā har baat kā jī se malāl gayā
yun kahne ko rahen mulk-e-wafa ki ujal gaya
ek dhund mili jis rah mein paik-e-KHayal gaya
phir chand hamein kisi raat ki god mein Dal gaya
hum shahr mein Thahren, aisa to ji ka rog nahin
aur ban bhi hain sune un mein bhi hum se log nahin
aur kuche ko tere lauTne ka to sawal gaya
tere lutf-o-ata ki dhum sahi mahfil mahfil
ek shaKHs tha insha nam-e-mohabbat mein kaamil
ye shaKHs yahan pamal raha, pamal gaya
teri chah mein dekha hum ne ba-haal-e-KHarab ise
par ishq o wafa ke yaad rahe aadab ise
tera nam o maqam jo puchha, hans kar Tal gaya
ek sal gaya, ek sal naya hai aane ko
par waqt ki bhi ab hosh nahin diwane ko
dil hath se is ke wahshi hiran ki misal gaya
hum ahl-e-wafa ranjur sahi, majbur nahin
aur shahr-e-wafa se dasht-e-junun kuchh dur nahin
hum KHush na sahi, par tere sar ka wabaal gaya
ab husn ke gaDh aur shahr-panahen suni hain
wo jo aashna the un sab ki nigahen suni hain
par tu jo gaya har baat ka ji se malal gaya
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.