midu ka tota
tiin hamārī bahneñ chhoTī
mil kar khā.eñ aadhī roTī
nā patlī nā bilkul moTī
miidū in meñ sab se chhoTī
miidū ne ik totā paalā
us tote kā rang nirālā
nīche niilā uupar kaalā
TiDDe aisī āñkhoñ vaalā
is tote kī huī chaḌhā.ī
din bhar kar ke maġhz khapā.ī
shaam ko dī miidū ne duhā.ī
is tote ko lenā bhaa.ī
laakh paḌhā.eñ ḳhaak na bole
dum na hilā.e choñch na khole
bahut kaho to haule haule
farsh pe maare rah rah Thole
bhaa.ī ne sochā us ko bulā.eñ
chheḌā jo us ko daa.eñ baa.eñ
totā bolā kaa.eñ kaa.eñ
miidū bolī haa.eñ haa.eñ
maiñ ne is ko totā samjhā
ye totā to kavvā niklā
is kavve kī dum meñ taagā
is ke pīchhe chhoḌo kuttā
tin hamari bahnen chhoTi
mil kar khaen aadhi roTi
na patli na bilkul moTi
midu in mein sab se chhoTi
midu ne ek tota pala
us tote ka rang nirala
niche nila upar kala
TiDDe aisi aankhon wala
is tote ki hui chaDhai
din bhar kar ke maghz khapai
sham ko di midu ne duhai
is tote ko lena bhai
lakh paDhaen KHak na bole
dum na hilae chonch na khole
bahut kaho to haule haule
farsh pe mare rah rah Thole
bhai ne socha us ko bulaen
chheDa jo us ko daen baen
tota bola kaen kaen
midu boli haen haen
main ne is ko tota samjha
ye tota to kawwa nikla
is kawwe ki dum mein taga
is ke pichhe chhoDo kutta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.