ye sarae hai
ye sarā.e hai yahāñ kis kā Thikānā DhūñDo
yaañ to aate haiñ musāfir so chale jaate haiñ
haañ yahī naam thā kuchh aisā hī chehrā-mohrā
yaad paḌtā hai ki aayā thā musāfir koī
suune āñgan meñ phirā kartā thā tanhā tanhā
kitnī gahrī thī nigāhoñ kī udāsī us kī
log kahte the ki hogā koī āseb-zada
ham ne aisī bhī koī baat na us meñ dekhī
ye bhī himmat na huī paas biThā ke pūchheñ
dil ye kahtā thā koī dard kā maarā hogā
lauT aayā hai jo āvāz na us kī paa.ī
jaane kis dar pe kise jā ke pukārā hogā
yaañ to har roz kī bāteñ haiñ ye jīteñ māteñ
ye bhī chāhat ke kisī khel meñ haarā hogā
ek tasvīr thī kuchh aap se miltī jultī
ek tahrīr thī ye is kā to qissa chhoḌo
chand ġhazleñ thiiñ ki likkhīñ kabhī likh kar kāTīñ
sher achchhe the jo sun lo to kaleja thāmo
bas yahī maal musāfir kā thā ham ne dekhā
jaane kis raah meñ kis shaḳhs ne luuTā us ko
guzrā karte haiñ sulagte hue baaqī ayyām
log jab aag lagāte haiñ bujhāte bhī nahīñ
ajnabī piit ke māroñ se kisī ko kyā kaam
bastiyoñ vaale kabhī naaz uThāte bhī nahīñ
chhīn lete haiñ vo yak-bārgī jī kā ārām
phir bulāte bhī nahīñ paas biThāte bhī nahīñ
ek din sub.h jo dekhā to sarā.e meñ na thā
jaane kis des gayā hai vo divānā DhūñDo
ham se pūchho to na aa.egā vo jaane vaalā
tum to nāhaq ko bhaTakne kā bahāna DhūñDo
yaañ to aayā jo musāfir yūñhī shab bhar Thahrā
ye sarā.e hai yahāñ kis kā Thikānā DhūñDo
ye sarae hai yahan kis ka Thikana DhunDo
yan to aate hain musafir so chale jate hain
han yahi nam tha kuchh aisa hi chehra-mohra
yaad paDta hai ki aaya tha musafir koi
sune aangan mein phira karta tha tanha tanha
kitni gahri thi nigahon ki udasi us ki
log kahte the ki hoga koi aaseb-zada
hum ne aisi bhi koi baat na us mein dekhi
ye bhi himmat na hui pas biTha ke puchhen
dil ye kahta tha koi dard ka mara hoga
lauT aaya hai jo aawaz na us ki pai
jaane kis dar pe kise ja ke pukara hoga
yan to har roz ki baaten hain ye jiten maten
ye bhi chahat ke kisi khel mein haara hoga
ek taswir thi kuchh aap se milti julti
ek tahrir thi ye is ka to qissa chhoDo
chand ghazlen thin ki likkhin kabhi likh kar kaTin
sher achchhe the jo sun lo to kaleja thamo
bas yahi mal musafir ka tha hum ne dekha
jaane kis rah mein kis shaKHs ne luTa us ko
guzra karte hain sulagte hue baqi ayyam
log jab aag lagate hain bujhate bhi nahin
ajnabi pit ke maron se kisi ko kya kaam
bastiyon wale kabhi naz uThate bhi nahin
chhin lete hain wo yak-bargi ji ka aaram
phir bulate bhi nahin pas biThate bhi nahin
ek din subh jo dekha to sarae mein na tha
jaane kis des gaya hai wo diwana DhunDo
hum se puchho to na aaega wo jaane wala
tum to nahaq ko bhaTakne ka bahana DhunDo
yan to aaya jo musafir yunhi shab bhar Thahra
ye sarae hai yahan kis ka Thikana DhunDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.