ibn-e-qabil ki dua
ai arz-o-samā ke ḳhāliq
be-aib-o-dānā rahīm-o-mālik
na jaane kitnī hai maḳhlūq terī
hisāb kaise tū rakhtā hogā
kahīñ pe insāñ kahīñ pe shaitāñ
farishte jin aur tuyūr-o-haivāñ
bahr-o-bar meñ zamīñ ke bhītar
sañg-o-chob aur fazā ke andar
haiñ aur bhī to karoḌoñ zī-rūh
haiñ sab ke sab jo mutī.a-o-qā.el
magar vo aalam fahīm jis ko
ki to ne ahsan-tarīñ banāyā
ashraf-ul-ḳhalq zakī banāyā
vahī jo ham haiñ ki ya.anī insāñ
hai da.avā jis ko payambarī kā
malā.ik-o-jin pe bartarī kā
hai jis kī ḳhidmat meñ chāñd-sūraj
huā samundar pahāḌ bādal
zamīñ kā madfan fazā kī vus.at
na jaane phir kyā huā ye ham ko
razīl bante chale ga.e ham
bachchoñ būḌhoñ pe qahr Dhā kar
ḳhabīs bante chale ga.e ham
ḳhud apnī beTī bahan ko apne
havas kā luqma banā rahe haiñ
apnī maañ ko bahū ko apnī
ashkoñ meñ ham Dubo rahe haiñ
amn kī jag.hoñ ko rauñd Daalā
tumheñ bhī hissoñ meñ baañT Daalā
ḳhudāyā koī ḳhatā huī hai
yā shāyad ham se yā shāyad tujh se
hisāb meñ tere kamī hai shāyad
yā merī fitrat badal ga.ī hai
ai ḳhāliq-e-kā.enāt-o-bartar
bas ek fariyād aur sun le
hisāb apnā tū Thiik kar le
yā phir se fitrat badal de merī
ai arz-o-sama ke KHaliq
be-aib-o-dana rahim-o-malik
na jaane kitni hai maKHluq teri
hisab kaise tu rakhta hoga
kahin pe insan kahin pe shaitan
farishte jin aur tuyur-o-haiwan
bahr-o-bar mein zamin ke bhitar
sang-o-chob aur faza ke andar
hain aur bhi to karoDon zi-ruh
hain sab ke sab jo mutia-o-qael
magar wo aalam fahim jis ko
ki to ne ahsan-tarin banaya
ashraf-ul-KHalq zaki banaya
wahi jo hum hain ki yani insan
hai dawa jis ko payambari ka
malaik-o-jin pe bartari ka
hai jis ki KHidmat mein chand-suraj
hua samundar pahaD baadal
zamin ka madfan faza ki wusat
na jaane phir kya hua ye hum ko
razil bante chale gae hum
bachchon buDhon pe qahr Dha kar
KHabis bante chale gae hum
KHud apni beTi bahan ko apne
hawas ka luqma bana rahe hain
apni man ko bahu ko apni
ashkon mein hum Dubo rahe hain
amn ki jaghon ko raund Dala
tumhein bhi hisson mein banT Dala
KHudaya koi KHata hui hai
ya shayad hum se ya shayad tujh se
hisab mein tere kami hai shayad
ya meri fitrat badal gai hai
ai KHaliq-e-kaenat-o-bartar
bas ek fariyaad aur sun le
hisab apna tu Thik kar le
ya phir se fitrat badal de meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.