ibn-ul-waqt
aag ke sho.ale utāro halq meñ
gaaḌ do kīleñ dhaḌaktī chhātiyoñ meñ
Daal do gardan meñ phande rassiyoñ ke
qatl kar lo ḳhuun kī nadiyāñ bahā lo
ho nihattā koī to golī chalā lo
phir bhī ho koī kasar to puurī kar lo
jiit kā elaan kar do
phir bhī tum Darte rahoge
aur har yug meñ tumhārī haar hī hotī rahegī
phir bhī tum chehre badal kar har zamāne meñ rahoge
aur sadiyoñ tak
yahī ik silsila chaltā rahegā
aag ke shoale utaro halq mein
gaD do kilen dhaDakti chhatiyon mein
Dal do gardan mein phande rassiyon ke
qatl kar lo KHun ki nadiyan baha lo
ho nihatta koi to goli chala lo
phir bhi ho koi kasar to puri kar lo
jit ka elan kar do
phir bhi tum Darte rahoge
aur har yug mein tumhaari haar hi hoti rahegi
phir bhi tum chehre badal kar har zamane mein rahoge
aur sadiyon tak
yahi ek silsila chalta rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.