idhar bhi aa
ye johd-o-kashmakash ye ḳharosh-e-jahāñ bhī dekh
adbār kii, saroñ pe ghanī badliyāñ bhī dekh
ye top ye tufañg ye teġh o sinān bhī dekh
o kushta-e-nigār-e-dil-ārā idhar bhī aa
aa, aur bigul kā naġhma-e-''jāñ-āfrīñ'' bhī sun
aa, be-kasoñ kā nāla-e-andoh-gīñ bhī sun
aa, bāġhiyoñ kā zamzama-e-ātishīñ bhī sun
o mast-e-sāz-o-barbat-o-naġhma idhar bhī aa
taqdīr kuchh ho, kāvish-e-tadbīr bhī to hai
taḳhrīb ke libās meñ ta.amīr bhī to hai
zulmāt ke hijāb meñ tanvīr bhī to hai
aa muntazir hai ishrat-e-fardā idhar bhī aa
ye johd-o-kashmakash ye KHarosh-e-jahan bhi dekh
adbar ki, saron pe ghani badliyan bhi dekh
ye top ye tufang ye tegh o sinan bhi dekh
o kushta-e-nigar-e-dil-ara idhar bhi aa
aa, aur bigul ka naghma-e-jaan-afrin bhi sun
aa, be-kason ka nala-e-andoh-gin bhi sun
aa, baghiyon ka zamzama-e-atishin bhi sun
o mast-e-saz-o-barbat-o-naghma idhar bhi aa
taqdir kuchh ho, kawish-e-tadbir bhi to hai
taKHrib ke libas mein tamir bhi to hai
zulmat ke hijab mein tanwir bhi to hai
aa muntazir hai ishrat-e-farda idhar bhi aa
- Book : Aahang (Pg. 131)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.