idhar ki aawaz is taraf hai
ujaaḌ sī dhuup
aadhī saa.at
ki nā-mukammal alāmateñ
daaġh daaġh āñkheñ
ye Tiila Tiila
utartī bheḌeñ
kahāñ hai
jo un ke saath hotā thā
ik farishta
kaTī phaTī zard
shaam se
kaun baḌh ke pūchhe
ki ek ik barg
āgahī kā
havā ke piile
larazte hāthoñ se gir rahā hai
tamām mausam bikhar rahā hai
ki dhīme dhīme se aatī shab kā
ye aabī manzar
ḳhunuk sā shīsha
ki vaadī vaadī ke darmiyāñ hai
agar udhar kī sadā hai koī
to us taraf hai
idhar kī āvāz
is taraf hai
ujaD si dhup
aadhi saat
ki na-mukammal alamaten
dagh dagh aankhen
ye Tila Tila
utarti bheDen
kahan hai
jo un ke sath hota tha
ek farishta
kaTi phaTi zard
sham se
kaun baDh ke puchhe
ki ek ek barg
aagahi ka
hawa ke pile
larazte hathon se gir raha hai
tamam mausam bikhar raha hai
ki dhime dhime se aati shab ka
ye aabi manzar
KHunuk sa shisha
ki wadi wadi ke darmiyan hai
agar udhar ki sada hai koi
to us taraf hai
idhar ki aawaz
is taraf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.