if you call i will come
maiñ pahuñch jā.ūñ agar aap mujhe yaad kareñ
merī raftār-e-taḳhayyul kī bhī raftār se tez
qalb-e-muztar se pukārī huī āvāz se tez
aap kī nazroñ ke tīr-e-asar-andāz se tez
maiñ pahuñch jā.ūñ agar aap mujhe yaad kareñ
tez-tar āhū-e-sahrā se ho raftār merī
tez parvāz meñ shāhīñ se bhī raftār merī
garche rāheñ ho bahut mushkil-o-dushvār merī
maiñ pahuñch jā.ūñ agar aap mujhe yaad kareñ
tapish-e-shauq se sho.aloñ kī lapak se baḌh kar
barq-e-betāb kī mānind bā-qalb-e-muztar
jaise mas.hūr koī bar-fusūn-e-sho.abada-gar
maiñ pahuñch jā.ūñ agar aap mujhe yaad kareñ
laakh tārīkiyāñ haa.il hoñ sar-e-rāhguzar
har-qadam par zamāna ke havādis se ḳhatar
maut ke ba.ad bhī har qaid se āzād ho kar
maiñ pahuñch jā.ūñ agar aap mujhe yaad kareñ
main pahunch jaun agar aap mujhe yaad karen
meri raftar-e-taKHayyul ki bhi raftar se tez
qalb-e-muztar se pukari hui aawaz se tez
aap ki nazron ke tir-e-asar-andaz se tez
main pahunch jaun agar aap mujhe yaad karen
tez-tar aahu-e-sahra se ho raftar meri
tez parwaz mein shahin se bhi raftar meri
garche rahen ho bahut mushkil-o-dushwar meri
main pahunch jaun agar aap mujhe yaad karen
tapish-e-shauq se shoalon ki lapak se baDh kar
barq-e-betab ki manind ba-qalb-e-muztar
jaise mashur koi bar-fusun-e-shoabada-gar
main pahunch jaun agar aap mujhe yaad karen
lakh tarikiyan hail hon sar-e-rahguzar
har-qadam par zamana ke hawadis se KHatar
maut ke baad bhi har qaid se aazad ho kar
main pahunch jaun agar aap mujhe yaad karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.