id
yuuñ lab se apne nikle hai ab bār-bār aah
kartā hai jis tarah ki dil-e-be-qarār aah
ham iid ke bhī din rahe ummīd-vār aah
ho jī meñ apne iid kī farhat se shād-kām
ḳhūbāñ se apne apne liye sab ne dil ke kaam
dil khol khol sab mile aapas meñ ḳhaas o aam
āġhosh-e-ḳhalq gul-badanoñ se bhare tamām
ḳhālī rahā par ek hamārā kanār aah
kyā pūchhte ho shoḳh se milne kī ab ḳhabar
kitnā hī justujū meñ phire ham idhar idhar
lekin milā na ham se vo ayyār fitnagar
milnā to ik taraf hai azīzo ki bhar-nazar
poshāk kī bhī ham ne na dekhī bahār aah
rakhte the ham umiid ye dil meñ ki iid ko
kyā kyā gale lagāveñge dil-bar ko shaad ho
so tū vo aaj bhī na milā shoḳh-e-hīla-jū
thī aas iid kī so ga.ī vo bhī dosto
ab dekheñ kyā kare dil-e-ummīd-vār aah
us sañg-dil kī ham ne ġharaz jab se chaah kī
dekhā na apne dil ko kabhī ek dam ḳhushī
kuchh ab hī us kī jaur-o-ta.addī nahīñ na.ī
har iid meñ hameñ to sadā yaas hī rahī
kāfir kabhī na ham se huā ham-kanār aah
iqrār ham se thā ka.ī din aage iid se
yaanī ki īd-gāh ko jāveñge tum ko le
āḳhir ko ham ko chhoḌ ga.e saath aur ke
ham haath malte rah ga.e aur raah dekhte
kyā kyā ġharaz sahā sitam-e-intizār aah
kyuuñ kar lageñ na dil meñ mire hasratoñ ke tiir
din iid ke bhī mujh se huā vo kanāra-gīr
is dard ko vo samjhe jo ho ishq kā asiir
jis iid meñ ki yaar se milnā na ho 'nazīr'
us ke upar to haif hai aur sad-hazār aah
yun lab se apne nikle hai ab bar-bar aah
karta hai jis tarah ki dil-e-be-qarar aah
hum id ke bhi din rahe ummid-war aah
ho ji mein apne id ki farhat se shad-kaam
KHuban se apne apne liye sab ne dil ke kaam
dil khol khol sab mile aapas mein KHas o aam
aaghosh-e-KHalq gul-badanon se bhare tamam
KHali raha par ek hamara kanar aah
kya puchhte ho shoKH se milne ki ab KHabar
kitna hi justuju mein phire hum idhar idhar
lekin mila na hum se wo ayyar fitnagar
milna to ek taraf hai azizo ki bhar-nazar
poshak ki bhi hum ne na dekhi bahaar aah
rakhte the hum umid ye dil mein ki id ko
kya kya gale lagawenge dil-bar ko shad ho
so tu wo aaj bhi na mila shoKH-e-hila-ju
thi aas id ki so gai wo bhi dosto
ab dekhen kya kare dil-e-ummid-war aah
us sang-dil ki hum ne gharaz jab se chah ki
dekha na apne dil ko kabhi ek dam KHushi
kuchh ab hi us ki jaur-o-taddi nahin nai
har id mein hamein to sada yas hi rahi
kafir kabhi na hum se hua ham-kanar aah
iqrar hum se tha kai din aage id se
yani ki id-gah ko jawenge tum ko le
aaKHir ko hum ko chhoD gae sath aur ke
hum hath malte rah gae aur rah dekhte
kya kya gharaz saha sitam-e-intizar aah
kyun kar lagen na dil mein mere hasraton ke tir
din id ke bhi mujh se hua wo kanara-gir
is dard ko wo samjhe jo ho ishq ka asir
jis id mein ki yar se milna na ho 'nazir'
us ke upar to haif hai aur sad-hazar aah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.