id
pyaar kī daulat ḳhuub luTā.eñ
aao phir se iid manā.eñ
farq diloñ ke duur bhagā.eñ
dhartī ko phir se svarg banā.eñ
nafrat ko ham duur bhagā.eñ
prem kā sūraj phir se ugā.eñ
viddyā kā har-sū ho saverā
soyā huā sansār jagā.eñ
duniyā vaalo sañbhlo ab to
chalne lagī haiñ kaisī havā.eñ
sāda-dilī bhī saath rahe par
aisā na ho dhokā khā jaa.eñ
kyoñ betāb huā jaatā huuñ
kaisī haiñ bebāk adā.eñ
pyar ki daulat KHub luTaen
aao phir se id manaen
farq dilon ke dur bhagaen
dharti ko phir se swarg banaen
nafrat ko hum dur bhagaen
prem ka suraj phir se ugaen
widdya ka har-su ho sawera
soya hua sansar jagaen
duniya walo sanbhlo ab to
chalne lagi hain kaisi hawaen
sada-dili bhi sath rahe par
aisa na ho dhoka kha jaen
kyon betab hua jata hun
kaisi hain bebak adaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.