irani talaba ke nam
ye kaun saḳhī haiñ
jin ke lahū kī
ashrafiyāñ chhan-chhan, chhan-chhan,
dhartī ke paiham pyāse
kashkol meñ Dhaltī jaatī haiñ
kashkol ko bhartī haiñ
ye kaun javāñ haiñ arz-e-ajam
ye lakh-luT
jin ke jismoñ kī
bharpūr javānī kā kundan
yuuñ ḳhaak meñ reza reza hai
yuuñ kūcha kūcha bikhrā hai
ai arz-e-ajam, ai arz-e-ajam!
kyuuñ noch ke hañs hañs pheñk diye
un āñkhoñ ne apne nīlam
un hoñToñ ne apne marjāñ
un hāthoñ kī ''be-kal chāñdī
kis kaam aa.ī kis haath lagī''
ai pūchhne vaale pardesī
ye tifl o javāñ
us nuur ke nau-ras motī haiñ
us aag kī kachchī kaliyāñ haiñ
jis mīThe nuur aur kaḌvī aag
se zulm kī andhī raat meñ phūTā
sub.h-e-baġhāvat kā gulshan
aur sub.h huī man-man, tan-tan,
un jismoñ kā chāñdī sonā
un chehroñ ke nīlam, marjāñ,
jag-mag jag-mag ruḳhshāñ ruḳhshāñ
jo dekhnā chāhe pardesī
paas aa.e dekhe jī bhar kar
ye ziist kī raanī kā jhūmar
ye amn kī devī kā kañgan!
ye kaun saKHi hain
jin ke lahu ki
ashrafiyan chhan-chhan, chhan-chhan,
dharti ke paiham pyase
kashkol mein Dhalti jati hain
kashkol ko bharti hain
ye kaun jawan hain arz-e-ajam
ye lakh-luT
jin ke jismon ki
bharpur jawani ka kundan
yun KHak mein reza reza hai
yun kucha kucha bikhra hai
ai arz-e-ajam, ai arz-e-ajam!
kyun noch ke hans hans phenk diye
un aankhon ne apne nilam
un honTon ne apne marjaan
un hathon ki be-kal chandi
kis kaam aai kis hath lagi
ai puchhne wale pardesi
ye tifl o jawan
us nur ke nau-ras moti hain
us aag ki kachchi kaliyan hain
jis miThe nur aur kaDwi aag
se zulm ki andhi raat mein phuTa
subh-e-baghawat ka gulshan
aur subh hui man-man, tan-tan,
un jismon ka chandi sona
un chehron ke nilam, marjaan,
jag-mag jag-mag ruKHshan ruKHshan
jo dekhna chahe pardesi
pas aae dekhe ji bhar kar
ye zist ki rani ka jhumar
ye amn ki dewi ka kangan!
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 155)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.