ijazat
kaash is dil kī tarah koī makāñ bhī hotā
apnī hastī kī tarah apnā jahāñ bhī hotā
zulmat-e-shab meñ tajallī kā gumāñ bhī hotā
mere hoñToñ pe mirā tarz-e-bayāñ bhī hotā
merī yādoñ ko mirī jaan bisar jaane do
baat jo dil pe guzartī hai guzar jaane do
aaj jab tark-e-ta.alluq kā ḳhayāl aayā hai
aisā lagtā hai mohabbat ko zavāl aayā hai
itnī hasrat bharī nazroñ se na dekho mujh ko
merī mahbūb sar-e-rāh na roko mujh ko
daaġh jo dil pe lagā hai ab use saaf karo
maiñ talabgār-e-muāfī huuñ kuchh insāf karo
apne din-rāt kisī tarah basar kar lūñgā
zindagī jaise bhī guzregī guzar kar lūñgā
maiñ tirī zaat se ai dost gila-mand nahīñ
tū ba-har-hāl mere ishq kī pāband nahīñ
ahd-o-paimān sabhī toḌ ke jā saktī ho
merī mahbūb mujhe chhoḌ ke jā saktī ho
kash is dil ki tarah koi makan bhi hota
apni hasti ki tarah apna jahan bhi hota
zulmat-e-shab mein tajalli ka guman bhi hota
mere honTon pe mera tarz-e-bayan bhi hota
meri yaadon ko meri jaan bisar jaane do
baat jo dil pe guzarti hai guzar jaane do
aaj jab tark-e-talluq ka KHayal aaya hai
aisa lagta hai mohabbat ko zawal aaya hai
itni hasrat bhari nazron se na dekho mujh ko
meri mahbub sar-e-rah na roko mujh ko
dagh jo dil pe laga hai ab use saf karo
main talabgar-e-muafi hun kuchh insaf karo
apne din-raat kisi tarah basar kar lunga
zindagi jaise bhi guzregi guzar kar lunga
main teri zat se ai dost gila-mand nahin
tu ba-har-haal mere ishq ki paband nahin
ahd-o-paiman sabhi toD ke ja sakti ho
meri mahbub mujhe chhoD ke ja sakti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.