vo baġhair ijāzat hī chalā aayā thā
maiñ kab se us kī āñkhoñ ko savāliya nazar se dekh rahā huuñ
binā koī āvāz kiye sab kah chukā hai
un kā ehsās mujhe apnī āñkheñ band
karne par huā hai
vo ik haspatāl meñ
ḳhudā se stretcher par leTā vāpas jaane
kī ijāzat maañg rahā hai
maiñ band āñkheñ kiye kab se soch rahā huuñ
use mujh se bhī ijāzat talab karnī chāhiye thī
wo baghair ijazat hi chala aaya tha
main kab se us ki aankhon ko sawaliya nazar se dekh raha hun
bina koi aawaz kiye sab kah chuka hai
un ka ehsas mujhe apni aankhen band
karne par hua hai
wo ek haspatal mein
KHuda se stretcher par leTa wapas jaane
ki ijazat mang raha hai
main band aankhen kiye kab se soch raha hun
use mujh se bhi ijazat talab karni chahiye thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.