ek aarzu
jakaḌ rahā hai mujhe phir se roz-o-shab kā hisār
abhī to sarhad-e-idrāk par khaḌā huuñ maiñ
tumhāre ḳhvāb kī mujh ko hadeñ nahīñ miltīñ
vo jāgtā huā manzar bhī so chukā hogā
tumhārī yaad kahīñ tah-nashīñ na ho jaa.e
kisī matan kā mujhe hāshiya banā lenā
jakaD raha hai mujhe phir se roz-o-shab ka hisar
abhi to sarhad-e-idrak par khaDa hun main
tumhaare KHwab ki mujh ko haden nahin miltin
wo jagta hua manzar bhi so chuka hoga
tumhaari yaad kahin tah-nashin na ho jae
kisi matan ka mujhe hashiya bana lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.