ek adhuri dastan
vo ik laḌkī
jo ḳhāmoshī meñ bhī aksar chahaktī thī
sub.h se shaam tak aur raat meñ bhī bāteñ kartī thī
sabhoñ ko shaad rakhtī thī bahut masrūr rahtī thī
kabhī bādal kabhī ḳhushbū kabhī gul-rañg kī sūrat
barastī thī bikhartī thī badaltī thī
magar mahsūs hotā thā hamesha paas rahtī hai
jo vo anjān bantī thī
aziiz az jaan lagtī thī
kabhī chanchal havā panchhī ke pañkhoñ aur nadī ke lams kī mānind
utar aatī thī dil meñ ruuh ko pur-kaif rakhtī thī
kabhī hoñToñ ke ras āñkhoñ kī shabnam gāloñ ke ḳhush-rañg mausam se
nashe ko jhiil ko gulbun ko bhī vo maat detī thī
maiñ us ke lams se ruḳhsāroñ kī dhīmī tamāzat garm sāñsoñ se
bahut qurbat bahut apnā.iyat mahsūs kartā thā
zehn ke paas paatā thā use apnā samajhtā thā
magar phir kyā huā ik din ki ik bad-baḳht Daa.in ne
ḳhudā jaane kahāñ bhejā ki sab lā-ilm haiñ us se
magar pahuñche hue darvesh ne ye bhed kholā hai
baserā us kā ab hai chāñdnī ke kunj
sitāroñ ke baġhīchoñ meñ
vo un kī sair kartī hai magar ġhamgīn rahtī hai
use sab vahm kahte haiñ ḳhilāf-e-aql kahte haiñ
magar pakkā yaqīñ hai jab koī TuuTā huā taarā
zamīñ ko chūmne aa.egā vo bhī saath aa.egī
phir apne saath vo ḳhushiyoñ ke sad.hā gul bhī lā.egī
so har shab jāgtā huuñ
raah meñ ākāsh kī āñkheñ bichhātā huuñ
magar jo taarā aatā hai zamīñ tak aa nahīñ paatā
wo ek laDki
jo KHamoshi mein bhi aksar chahakti thi
subh se sham tak aur raat mein bhi baaten karti thi
sabhon ko shad rakhti thi bahut masrur rahti thi
kabhi baadal kabhi KHushbu kabhi gul-rang ki surat
barasti thi bikharti thi badalti thi
magar mahsus hota tha hamesha pas rahti hai
jo wo anjaan banti thi
aziz az jaan lagti thi
kabhi chanchal hawa panchhi ke pankhon aur nadi ke lams ki manind
utar aati thi dil mein ruh ko pur-kaif rakhti thi
kabhi honTon ke ras aankhon ki shabnam galon ke KHush-rang mausam se
nashe ko jhil ko gulbun ko bhi wo mat deti thi
main us ke lams se ruKHsaron ki dhimi tamazat garm sanson se
bahut qurbat bahut apnaiyat mahsus karta tha
zehn ke pas pata tha use apna samajhta tha
magar phir kya hua ek din ki ek bad-baKHt Dain ne
KHuda jaane kahan bheja ki sab la-ilm hain us se
magar pahunche hue darwesh ne ye bhed khola hai
basera us ka ab hai chandni ke kunj
sitaron ke baghichon mein
wo un ki sair karti hai magar ghamgin rahti hai
use sab wahm kahte hain KHilaf-e-aql kahte hain
magar pakka yaqin hai jab koi TuTa hua tara
zamin ko chumne aaega wo bhi sath aaegi
phir apne sath wo KHushiyon ke sadha gul bhi laegi
so har shab jagta hun
rah mein aakash ki aankhen bichhata hun
magar jo tara aata hai zamin tak aa nahin pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.