ek aur bhi hai munsif
vo do-jahāñ kā mālik
sab haal jāntā hai
nekī ke aur badī ke
ahvāl jāntā hai
duniyā ke faisloñ se
māyūs jaane vaalā
aisā na ho ki us ke darbār meñ pukāre
aisā na ho ki us ke insāf kā tarāzū
ik baar phir se tole
mujrim ke zulm ko bhī
munsif kī bhuul ko bhī
aur apnā faisla de
vo faisla ki jis se
ye ruuh kaañp uTThe
wo do-jahan ka malik
sab haal jaanta hai
neki ke aur badi ke
ahwal jaanta hai
duniya ke faislon se
mayus jaane wala
aisa na ho ki us ke darbar mein pukare
aisa na ho ki us ke insaf ka taraazu
ek bar phir se tole
mujrim ke zulm ko bhi
munsif ki bhul ko bhi
aur apna faisla de
wo faisla ki jis se
ye ruh kanp uTThe
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 472)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.