ek aur ghar bhi tha mera
ik aur ghar bhī thā mirā
jis meñ maiñ rahtā thā kabhī
ik aur kumba thā mirā
bachchoñ baḌoñ ke darmiyāñ
ik aur hastī thī mirī
kuchh rañj the kuchh ḳhvāb the
maujūd haiñ jo aaj bhī
vo ghar jo thī bastī mirī
ye ghar jo hai bastī mirī
us meñ bhī thī hastī mirī
is meñ bhī hai hastī mirī
aur maiñ huuñ jaise koī shai
do bastiyoñ meñ ajnabī
ek aur ghar bhi tha mera
jis mein main rahta tha kabhi
ek aur kumba tha mera
bachchon baDon ke darmiyan
ek aur hasti thi meri
kuchh ranj the kuchh KHwab the
maujud hain jo aaj bhi
wo ghar jo thi basti meri
ye ghar jo hai basti meri
us mein bhi thi hasti meri
is mein bhi hai hasti meri
aur main hun jaise koi shai
do bastiyon mein ajnabi
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 756)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.