ek bewafa ke nam
Interesting Fact
Calcutta, 8th August 1958, Published: Shama, Delhi
tere bhī dil meñ huuk sī uTThe ḳhudā kare
tū bhī hamārī yaad meñ taḌpe ḳhudā kare
majrūh ho balā se tire husn kā ġhurūr
par tujh ko chashm-e-shauq na dekhe ḳhudā kare
kho jaa.eñ tere husn kī ra.anā.iyāñ tamām
terī adā kisī ko na bhaa.e ḳhudā kare
merī hī tarah kashti-e-dil ho tirī tabāh
tūfān itne zor kā uTThe ḳhudā kare
rāhoñ ke pech-o-ḳham meñ rahe tā-hayāt gum
manzil tire qarīb na aa.e ḳhudā kare
zulmat ho tū ho aur tirī rahguzār ho
duniyā meñ terī sub.h na phūTe ḳhudā kare
tujh par nashāt-o-aish kī rāteñ harām hoñ
mar jaa.eñ tere saaz ke naġhme ḳhudā kare
aa.eñ na tere baaġh meñ jhoñke nasīm ke
terā gul-e-shabāb na mahke ḳhudā kare
har lamha terī ruuh ko ik be-kalī sī ho
aur be-kalī meñ niiñd na aa.e ḳhudā kare
ho tere dil meñ merī ḳhalish merī aarzū
mere baġhair chain na aa.e ḳhudā kare
tū jā rahī hai bazm-e-tarab meñ to ḳhair jā
par terā jī vahāñ bhī na bahle ḳhudā kare
al-muḳhtasar hoñ jitne sitam tujh pe TuuT jaa.eñ
lekin ye rabt-e-zīst na TuuTe ḳhudā kare
jo kuchh maiñ kah gayā huuñ junūñ meñ vo sab ġhalat
tujh par koī bhī aañch na aa.e ḳhudā kare
tū hai matā-e-qalb-o-nazar bevafā sahī
hai raushnī-e-dāġh-e-jigar bevafā sahī
tere bhi dil mein huk si uTThe KHuda kare
tu bhi hamari yaad mein taDpe KHuda kare
majruh ho bala se tere husn ka ghurur
par tujh ko chashm-e-shauq na dekhe KHuda kare
kho jaen tere husn ki ranaiyan tamam
teri ada kisi ko na bhae KHuda kare
meri hi tarah kashti-e-dil ho teri tabah
tufan itne zor ka uTThe KHuda kare
rahon ke pech-o-KHam mein rahe ta-hayat gum
manzil tere qarib na aae KHuda kare
zulmat ho tu ho aur teri rahguzar ho
duniya mein teri subh na phuTe KHuda kare
tujh par nashat-o-aish ki raaten haram hon
mar jaen tere saz ke naghme KHuda kare
aaen na tere bagh mein jhonke nasim ke
tera gul-e-shabab na mahke KHuda kare
har lamha teri ruh ko ek be-kali si ho
aur be-kali mein nind na aae KHuda kare
ho tere dil mein meri KHalish meri aarzu
mere baghair chain na aae KHuda kare
tu ja rahi hai bazm-e-tarab mein to KHair ja
par tera ji wahan bhi na bahle KHuda kare
al-muKHtasar hon jitne sitam tujh pe TuT jaen
lekin ye rabt-e-zist na TuTe KHuda kare
jo kuchh main kah gaya hun junun mein wo sab ghalat
tujh par koi bhi aanch na aae KHuda kare
tu hai mata-e-qalb-o-nazar bewafa sahi
hai raushni-e-dagh-e-jigar bewafa sahi
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 146)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.