ek gum-shuda shahar
Interesting Fact
(Mah-e-Nau, December, 2003)
baḌā shauq thā
ki baseñ shahr-e-lahore meñ
chhoḌ kar zindagī ye mazāfāt kī
chal raheñ us nigār-e-vatan meñ
ki jis meñ haiñ har-sū mahaktī fazā.eñ
barastī haiñ maḳhmūr kaalī ghaTā.eñ
ye lahore thā
mere ḳhvāboñ kā maskan
mirī chāhatoñ kā ḳhutan
guzāre the ahd-e-javānī meñ maiñ ne
yahāñ saiñkaḌoñ din
baras-hā-baras tak
rahā maiñ muqayyad
bahut duur is ek chhoTe nagar meñ
vo chhūTā nagar jis ne āsūdgī dī
diyā rizq bhī garche mujh ko farāvāñ
magar mere dil meñ vo utrā nahīñ ek din bhī
zamīn chāñd mausam sitāre
sabhī ek se the
magar phir bhī mujh ko vo bhāyā nahīñ ek din bhī
mujhe āḳhirash zindagī le hī aa.ī
isī mere ḳhvāboñ ke ghar meñ
samundar kī sūrat ufuq-tā-ufuq
duur phaile nagar meñ
va-lekin vo shahr-e-nigārāñ vo shahr-e-ḳhutan
merī yādoñ kā maskan
na jaane kahāñ hai?
use aaj tak DhūñD paayā nahīñ maiñ
na vo mall hai na vo shimla pahāḌī
na TamTam na Tāñga na ik aadh gaaḌī
jamāl-e-sahar hai na mahkī fazā.eñ
samā.at pe bār-e-garāñ motoroñ kī sadā.eñ
hai shor-e-qayāmat dhuāñ hī dhuāñ hai
mirā shahr lahore jaane kahāñ hai
baDa shauq tha
ki basen shahr-e-lahore mein
chhoD kar zindagi ye mazafat ki
chal rahen us nigar-e-watan mein
ki jis mein hain har-su mahakti fazaen
barasti hain maKHmur kali ghaTaen
ye lahore tha
mere KHwabon ka maskan
meri chahaton ka KHutan
guzare the ahd-e-jawani mein main ne
yahan sainkaDon din
baras-ha-baras tak
raha main muqayyad
bahut dur is ek chhoTe nagar mein
wo chhuTa nagar jis ne aasudgi di
diya rizq bhi garche mujh ko farawan
magar mere dil mein wo utra nahin ek din bhi
zamin chand mausam sitare
sabhi ek se the
magar phir bhi mujh ko wo bhaya nahin ek din bhi
mujhe aaKHirash zindagi le hi aai
isi mere KHwabon ke ghar mein
samundar ki surat ufuq-ta-ufuq
dur phaile nagar mein
wa-lekin wo shahr-e-nigaran wo shahr-e-KHutan
meri yaadon ka maskan
na jaane kahan hai?
use aaj tak DhunD paya nahin main
na wo mall hai na wo shimla pahaDi
na TamTam na Tanga na ek aadh gaDi
jamal-e-sahar hai na mahki fazaen
samaat pe bar-e-garan motoron ki sadaen
hai shor-e-qayamat dhuan hi dhuan hai
mera shahr lahore jaane kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.