ek inam ke kitne nam hain
ik pahchān ke kitne ism haiñ
ik in.aam ke kitne naam haiñ
terā naam vo bādal jis kā paiġhambar par dasht-e-jabal meñ saayā hai
terā naam vo barkhā jis kā rim-jhim paanī
vaadī meñ dariyā kahlā.e aur samundar bantā jaa.e
terā naam vo sūraj jis kā sonā sab kī milkiyyat hai
jis kā sikka mulkoñ mulkoñ jaarī hai
terā naam vo harf jise imkān kī lauh par dekh ke maiñ ne
pesh-o-pas se nuqta nuqta joḌ liyā hai
ismoñ vaale harfoñ vaale nāmoñ vaale
mujh ko bhī ik naam atā kar
merī jholī mid.hat kartī būñdoñ kirnoñ chamkīle harfoñ se bhar de
ek pahchan ke kitne ism hain
ek inam ke kitne nam hain
tera nam wo baadal jis ka paighambar par dasht-e-jabal mein saya hai
tera nam wo barkha jis ka rim-jhim pani
wadi mein dariya kahlae aur samundar banta jae
tera nam wo suraj jis ka sona sab ki milkiyyat hai
jis ka sikka mulkon mulkon jari hai
tera nam wo harf jise imkan ki lauh par dekh ke main ne
pesh-o-pas se nuqta nuqta joD liya hai
ismon wale harfon wale namon wale
mujh ko bhi ek nam ata kar
meri jholi midhat karti bundon kirnon chamkile harfon se bhar de
- Book : Pakistani Adab (Pg. 86)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.